aqab mein darmiyaan aur saamne waali naashiston par | अक़ब में दरमियाँ और सामने वाली नाशिस्तों पर

  - Ehtisham Hasan

aqab mein darmiyaan aur saamne waali naashiston par
jahaan dekha wahan the aap hi saari naashiston par

vo jab stage par aaya to peeche baithne waale
chale aaye qataarein tod kar agli naashiston par

khabar hi na mili un ko tamasha khatm hone ki
tamaashaai jhagdate rah gaye khaali naashiston par

gale mein dil uchhal kar aa gaya sab ahl-e-mehfil ka
jab us ne be-niyaazi se nazar daali naashiston par

unhen har hukm sun kar shah ki taaid karne thi
riyaazat kaat kar pahunchen jo darbaari naashiston par

yahan par har kisi ko hukmraan hone ki khwaahish hai
nazar hizb-e-mukhalif ki hai sarkaari naashiston par

jo dekhi zeest ke stage par apni adaakaari
main roya baari baari baith kar khaali naashiston par

hasan ham ko bhi apni shaayri par daad mil jaati
hamaare dost ja kar so gaye pichhli naashiston par

अक़ब में दरमियाँ और सामने वाली नाशिस्तों पर
जहाँ देखा वहाँ थे आप ही सारी नाशिस्तों पर

वो जब स्टेज पर आया तो पीछे बैठने वाले
चले आए क़तारें तोड़ कर अगली नाशिस्तों पर

ख़बर ही न मिली उन को तमाशा ख़त्म होने की
तमाशाई झगड़ते रह गए ख़ाली नाशिस्तों पर

गले में दिल उछल कर आ गया सब अहल-ए-महफ़िल का
जब उस ने बे-नियाज़ी से नज़र डाली नाशिस्तों पर

उन्हें हर हुक्म सुन कर शाह की ताईद करनी थी
रियाज़त काट कर पहुँचे जो दरबारी नाशिस्तों पर

यहाँ पर हर किसी को हुक्मराँ होने की ख़्वाहिश है
नज़र हिज़्ब-ए-मुख़ालिफ़ की है सरकारी नाशिस्तों पर

जो देखी ज़ीस्त के स्टेज पर अपनी अदाकारी
मैं रोया बारी बारी बैठ कर ख़ाली नाशिस्तों पर

'हसन' हम को भी अपनी शाइरी पर दाद मिल जाती
हमारे दोस्त जा कर सो गए पिछली नाशिस्तों पर

  - Ehtisham Hasan

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Hasan

As you were reading Shayari by Ehtisham Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Hasan

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari