kehne laga khulte hue darwaaza hawa se | कहने लगा खुलते हुए दरवाज़ा हवा से

  - Ehtisham Hasan

kehne laga khulte hue darwaaza hawa se
ye pehla taaruf hai mera taaza hawa se

phir choom gaeein phool ke rukhsaar hawaaein
phir phool ke chehre pe laga ghaaza hawa se

khushboo ka saraapa hai ki phoolon ki hai tarkeeb
vo aaye to ho jaata hai andaaza hawa se

rakhte hain munderon pe diye apne jala kar
ham ne kabhi poocha nahin khamyaza hawa se

kal raat dareechon mein koi aur nahin tha
bikhra tha khayaalaat ka sheeraza hawa se

kehna hai use jo bhi hasan phone pe kah do
ab tez hai raftaar mein aawaaza hawa se

कहने लगा खुलते हुए दरवाज़ा हवा से
ये पहला तआ'रुफ़ है मिरा ताज़ा हवा से

फिर चूम गईं फूल के रुख़्सार हवाएँ
फिर फूल के चेहरे पे लगा ग़ाज़ा हवा से

ख़ुशबू का सरापा है कि फूलों की है तरकीब
वो आए तो हो जाता है अंदाज़ा हवा से

रखते हैं मुंडेरों पे दिए अपने जला कर
हम ने कभी पूछा नहीं ख़म्याज़ा हवा से

कल रात दरीचों में कोई और नहीं था
बिखरा था ख़यालात का शीराज़ा हवा से

कहना है उसे जो भी 'हसन' फ़ोन पे कह दो
अब तेज़ है रफ़्तार में आवाज़ा हवा से

  - Ehtisham Hasan

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Hasan

As you were reading Shayari by Ehtisham Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Hasan

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari