seedhe-saadhe log the pehle ghar bhi saada hota tha | सीधे-साधे लोग थे पहले घर भी सादा होता था

  - Ehtisham Hasan

seedhe-saadhe log the pehle ghar bhi saada hota tha
kamre kam hote the aur daalaan kushaada hota tha

dekh ke vo ghar gaav waale sog manaaya karte the
sahan mein jo deewaar utha kar aadha aadha hota tha

mustaqbil aur haal ke azaaron ke saath nimatne ko
chaupaalon mein maazi ki yaadon ka i'aada hota tha

dukh chahe jis ka bhi ho vo mil kar baanta jaata tha
gham to aaj ke jaise the ehsaas ziyaada hota tha

ladke baale meelon paidal padhne jaaya karte the
paas hai jo school vo pehle door-ufaadaa hota tha

thak jaata koi to mil kar bojh ko baanta karte the
dost ne dost ka basta apne oopar laada hota tha

itni sharm to hoti thi aankhon mein pehle waqton mein
gali mein sar neecha rakhta jo baahar daada hota tha

soch samajh kar hote the tab saath nibhaane ke wa'de
lekin jo kar lete the vo wa'da poora hota tha

khat mein dil aur teer bana kar minnat karne padti thi
yaar bahut mushkil se milne par aamada hota tha

dekh hasan kis mansab se le aaya ishq faqiri tak
jis se poocha apne daur mein vo shehzaada hota tha

सीधे-साधे लोग थे पहले घर भी सादा होता था
कमरे कम होते थे और दालान कुशादा होता था

देख के वो घर गाँव वाले सोग मनाया करते थे
सहन में जो दीवार उठा कर आधा आधा होता था

मुस्तक़बिल और हाल के आज़ारों के साथ निमटने को
चौपालों में माज़ी की यादों का इआदा होता था

दुख चाहे जिस का भी हो वो मिल कर बाँटा जाता था
ग़म तो आज के जैसे थे एहसास ज़ियादा होता था

लड़के बाले मीलों पैदल पढ़ने जाया करते थे
पास है जो स्कूल वो पहले दूर-उफ़्तादा होता था

थक जाता कोई तो मिल कर बोझ को बाँटा करते थे
दोस्त ने दोस्त का बस्ता अपने ऊपर लादा होता था

इतनी शर्म तो होती थी आँखों में पहले वक़्तों में
गली में सर नीचा रखता जो बाहर दादा होता था

सोच समझ कर होते थे तब साथ निभाने के वा'दे
लेकिन जो कर लेते थे वो वा'दा पूरा होता था

ख़त में दिल और तीर बना कर मिन्नत करनी पड़ती थी
यार बहुत मुश्किल से मिलने पर आमादा होता था

देख 'हसन' किस मंसब से ले आया इश्क़ फ़क़ीरी तक
जिस से पूछा अपने दौर में वो शहज़ादा होता था

  - Ehtisham Hasan

Bachpan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehtisham Hasan

As you were reading Shayari by Ehtisham Hasan

Similar Writers

our suggestion based on Ehtisham Hasan

Similar Moods

As you were reading Bachpan Shayari Shayari