kabhi khul ke jab khilkhilaati hai insha | कभी खुल के जब खिलखिलाती है इंशा - Ghazanfar

kabhi khul ke jab khilkhilaati hai insha
fazaaon mein sargam bajaati hai insha
har ik lab pe titli bithaati hai insha
jhadi qahqahon ki lagati hai insha
masarrat ki duniya basaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
kabhi maisha ko hansaati hai insha
kabhi maisha ko rulaati hai insha
kabhi paas us ko bulaati hai insha
kabhi door us ko bhagaati hai insha
behn se to kasrat karaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
kahaani sunaati hai naani ko insha
adaayein dikhaati hai naani ko insha
masarrat dilaati hai naani ko insha
deewana banaati hai naani ko insha
jawaani budhape mein laati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
kabhi dhundh laati hai naanu ka chashma
kabhi fenk aati hai naanu ka chashma
kabhi khud lagati hai naanu ka chashma
kahi se bhi paati hai naanu ka chashma
to awaaz fauran lagati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
mobile par is tarah ungli ghumaaye
ki jaise koi shakhs jaadu chalaae
mobile ke parde pe hairat ugaae
hazaaron tarah ke karishme dikhaaye
dikha kar karishme rizhaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
kabhi koi khaane ka manzar dikhaaye
kabhi apni ungli se pizza banaaye
kabhi to mazedaar murga pakaaye
salado se khaane ki thaali sajaaye
kabhi chaai kaafi pilaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
falak paas ja kar kabhi muskuraati
kabhi chhedti to kabhi gudgudaati
mahak ko kabhi apna kartab dikhaati
kabhi bebi nanna ko poem sunaati
har ik aadmi ko lubhaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
malaahat mein is ki chamak hai gazab ki
saraape mein is ke lachak hai gazab ki
sadaaon mein is ki khanak hai gazab ki
adaaon mein is ki chahak hai gazab ki
gazab ka nazaara dikhaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
chaheṭi kisi ki kisi ki dulaari
kisi ko lage saare duniya se nyaari
kisi ko ho mehsoos phoolon se bhari
sanee ko to hai jaan-o-dil se bhi pyaari
bahut aamna ko bhi bhaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
mobile pe abbaa ko dekhe to dole
chahak kar lapak kar zabaan apni khole
masarrat se labreiz alfaaz bole
shahad kaan mein apne abbaa ke ghole
qatar tak mohabbat lutaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
mobile pe farhaan khan ki zabaani
har ik raat sunti hai vo ik kahaani
kahaani mein aati hai jab koi raani
to bacchi se ban jaati hai vo siyaani
bahut daad abbaa se paati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
kabhi apne ghode se bhau bhau karaaye
kabhi sher cheete ko bakri banaaye
kabhi sar pe billi ke haathi bithaaye
kabhi doraemon ko bhi patti padhaaye
anokhe tamaashe dikhaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha
magar khaane peene se jee hai churaati
zara der mein munh mein lukma giraati
bahut apni ammaan se kasrat karaati
kabhi naach tigdi ka bhi vo nachaati
khilaane mein paagal banaati hai insha
mere ghar ko jannat banaati hai insha

कभी खुल के जब खिलखिलाती है इंशा
फ़ज़ाओं में सरगम बजाती है इंशा
हर इक लब पे तितली बिठाती है इंशा
झड़ी क़हक़हों की लगाती है इंशा
मसर्रत की दुनिया बसाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
कभी माइशा को हँसाती है इंशा
कभी माइशा को रुलाती है इंशा
कभी पास उस को बुलाती है इंशा
कभी दूर उस को भगाती है इंशा
बहन से तो कसरत कराती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
कहानी सुनाती है नानी को इंशा
अदाएँ दिखाती है नानी को इंशा
मसर्रत दिलाती है नानी को इंशा
दिवाना बनाती है नानी को इंशा
जवानी बुढ़ापे में लाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
कभी ढूँड लाती है नानू का चश्मा
कभी फेंक आती है नानू का चश्मा
कभी ख़ुद लगाती है नानू का चश्मा
कहीं से भी पाती है नानू का चश्मा
तो आवाज़ फ़ौरन लगाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
मोबाइल पर इस तरह उँगली घुमाए
कि जैसे कोई शख़्स जादू चलाए
मोबाइल के पर्दे पे हैरत उगाए
हज़ारों तरह के करिश्मे दिखाए
दिखा कर करिश्मे रिझाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
कभी कोई खाने का मंज़र दिखाए
कभी अपनी उँगली से पिज़्ज़ा बनाए
कभी तो मज़ेदार मुर्ग़ा पकाए
सलादों से खाने की थाली सजाए
कभी चाय काफ़ी पिलाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
फ़लक पास जा कर कभी मुस्कुराती
कभी छेड़ती तो कभी गुदगुदाती
महक को कभी अपना कर्तब दिखाती
कभी बेबी नन्ना को पोयम सुनाती
हर इक आदमी को लुभाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
मलाहत में इस की चमक है ग़ज़ब की
सरापे में इस के लचक है ग़ज़ब की
सदाओं में इस की खनक है ग़ज़ब की
अदाओं में इस की चहक है ग़ज़ब की
ग़ज़ब का नज़ारा दिखाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
चहेती किसी की किसी की दुलारी
किसी को लगे सारे दुनिया से न्यारी
किसी को हो महसूस फूलों से भारी
सनी को तो है जान-ओ-दिल से भी प्यारी
बहुत आमना को भी भाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
मोबाइल पे अब्बा को देखे तो डोले
चहक कर लपक कर ज़बाँ अपनी खोले
मसर्रत से लबरेज़ अल्फ़ाज़ बोले
शहद कान में अपने अब्बा के घोले
क़तर तक मोहब्बत लुटाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
मोबाइल पे फ़रहान ख़ाँ की ज़बानी
हर इक रात सुनती है वो इक कहानी
कहानी में आती है जब कोई रानी
तो बच्ची से बन जाती है वो सियानी
बहुत दाद अब्बा से पाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
कभी अपने घोड़े से भौं भौं कराए
कभी शेर चीते को बकरी बनाए
कभी सर पे बिल्ली के हाथी बिठाए
कभी डॉरीमॉन को भी पट्टी पढ़ाए
अनोखे तमाशे दिखाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा
मगर खाने पीने से जी है चुराती
ज़रा देर में मुँह में लुक़्मा गिराती
बहुत अपनी अम्माँ से कसरत कराती
कभी नाच तिगड़ी का भी वो नचाती
खिलाने में पागल बनाती है इंशा
मिरे घर को जन्नत बनाती है इंशा

- Ghazanfar
0 Likes

Jannat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghazanfar

As you were reading Shayari by Ghazanfar

Similar Writers

our suggestion based on Ghazanfar

Similar Moods

As you were reading Jannat Shayari Shayari