dekh lo tum khoo-e-aatish ai qamar sheeshe mein hai | देख लो तुम ख़ू-ए-आतिश ऐ क़मर शीशे में है - Habeeb Moosavi

dekh lo tum khoo-e-aatish ai qamar sheeshe mein hai
aks daag-e-mehr ka itna asar sheeshe mein hai

log kahte hain tire rukhsaar-e-taabaa dekh kar
sham'a hai faanoos mein ya aab-e-zar sheeshe mein hai

raat din rahti hai niyyat baada-e-gul-rang mein
ye pari vo hai ki jo aathon pahar sheeshe mein hai

saad-e-seemeen se tere us ko kya nisbat bhala
tauba tauba kab lataafat is qadar sheeshe mein hai

hoti hai ghark-e-araq kyun tu sivaae boo-e-gul
aur kya ai bulbul-e-shoreeda-sar sheeshe mein hai

may-kada tera rahe aabaad khum ki khair ho
haan pila de mujh ko saaqi jis qadar sheeshe mein hai

khaak se meri bhala kya waqt ka ho imtiyaaz
har ghadi ban kar bagoola muntashar sheeshe mein hai

ye gumaan hota hai aks-e-mehr-e-sehba dekh kar
daag-e-ulfat ko liye khoon-e-jigar sheeshe mein hai

hazrat-e-waaiz na aisa waqt haath aayega phir
sab hain be-khud tum bhi pee lo kuch agar sheeshe mein hai

khinch sake hargiz musavvir se na timsaal-e-adam
dekh lo tasveer-e-jaanaan taa-kamar sheeshe mein hai

thodi thodi raah mein pee lenge gar kam hai to kya
door hai may-khaana ye zaad-e-safar sheeshe mein hai

may pila kar mujh se kahte hain vo ho kar be-hijaab
chadh gai aankhon pe jab aink nazar sheeshe mein hai

kyun na zor-e-tab' sab ahbaab dikhlaayen habeeb
imtihaan-e-husn nazm-e-yak-digar sheeshe mein hai

देख लो तुम ख़ू-ए-आतिश ऐ क़मर शीशे में है
अक्स दाग़-ए-महर का इतना असर शीशे में है

लोग कहते हैं तिरे रुख़्सार-ए-ताबाँ देख कर
शम्अ' है फ़ानूस में या आब-ए-ज़र शीशे में है

रात दिन रहती है निय्यत बादा-ए-गुल-रंग में
ये परी वो है कि जो आठों पहर शीशे में है

साअद-ए-सीमीं से तेरे उस को क्या निस्बत भला
तौबा तौबा कब लताफ़त इस क़दर शीशे में है

होती है ग़र्क़-ए-अरक़ क्यूँ तू सिवाए बू-ए-गुल
और क्या ऐ बुलबुल-ए-शोरीदा-सर शीशे में है

मय-कदा तेरा रहे आबाद ख़ुम की ख़ैर हो
हाँ पिला दे मुझ को साक़ी जिस क़दर शीशे में है

ख़ाक से मेरी भला क्या वक़्त का हो इम्तियाज़
हर घड़ी बन कर बगूला मुन्तशर शीशे में है

ये गुमाँ होता है अक्स-ए-महर-ए-सहबा देख कर
दाग़-ए-उल्फ़त को लिए ख़ून-ए-जिगर शीशे में है

हज़रत-ए-वाइज़ न ऐसा वक़्त हाथ आएगा फिर
सब हैं बे-ख़ुद तुम भी पी लो कुछ अगर शीशे में है

खिंच सके हरगिज़ मुसव्विर से न तिमसाल-ए-अदम
देख लो तस्वीर-ए-जानाँ ता-कमर शीशे में है

थोड़ी थोड़ी राह में पी लेंगे गर कम है तो क्या
दूर है मय-ख़ाना ये ज़ाद-ए-सफ़र शीशे में है

मय पिला कर मुझ से कहते हैं वो हो कर बे-हिजाब
चढ़ गई आँखों पे जब ऐनक नज़र शीशे में है

क्यूँ न ज़ोर-ए-तब्अ सब अहबाब दिखलाएँ 'हबीब'
इम्तिहान-ए-हुस्न नज़्म-ए-यक-दिगर शीशे में है

- Habeeb Moosavi
0 Likes

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Moosavi

As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Moosavi

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari