hue khalk jab se jahaan mein ham hawas-e-nazaara-e-yaar hai | हुए ख़ल्क़ जब से जहाँ में हम हवस-ए-नज़ारा-ए-यार है

  - Habeeb Moosavi

hue khalk jab se jahaan mein ham hawas-e-nazaara-e-yaar hai
thehar ai ajal ki vo aayenge dam-e-waapsi ka qaraar hai

rahein mahav kyun na har ek dam ki nazar mein jalwa-e-yaar hai
dil-e-muntazir hai jo aaina to khayal aaina-daar hai

ye khata-e-ishq ki di saza ki mizaa se mardum-e-chashm ne
mera dil dikha ke ye kah diya ise lo ye qaabil-e-daar hai

ye khuda hi jaane vo kaun tha jo shaheed-e-naaz-o-ada hua
ki udri hai khaak-e-rah-e-sanam to khizaan mein rang-e-bahaar hai

hui tark saari mohabbatein mere sar pe dhaai hain aafatein
yahi dil ke lene mein shart thi yahi mujh se qaul-o-qaraar hai

ye junoon ki dekhiye pukhtagi jo kabhi kisi ne na ho sooni
mere pairhan ka jo taar hai vo har ek resha-e-khaar hai

koi dil ki nikli na aarzoo hua ranj-o-gham se jigar lahu
phire khaak chaante koo-b-koo na to sabr hai na qaraar hai

pas-e-marg bhi hain wahi sitam hain jafaaen rooh pe dam-b-dam
idhar aate aate vo phir gaye jo suna ki mera mazaar hai

mere seene ko na hadf karo tapish-e-jigar se dare raho
par-e-murg-e-teer na jal uthe ki lahu b-rang-e-sharaar hai

vo khushi dikhaai na charkh ne ki evaz mein jis ke na gham diye
kabhi farsh-e-gul hai jo ek shab to maheenon bistar-e-khaar hai

jise dard-e-naala-o-aah hai jo shaheed-e-tegh-e-nigaah hai
shab-e-hijr us ki gawaah hai vo habeeb'-e-seena-figaar hai

हुए ख़ल्क़ जब से जहाँ में हम हवस-ए-नज़ारा-ए-यार है
ठहर ऐ अजल कि वो आएँगे दम-ए-वापसीं का क़रार है

रहें महव क्यूँ न हर एक दम कि नज़र में जल्वा-ए-यार है
दिल-ए-मुंतज़िर है जो आइना तो ख़याल आइना-दार है

ये ख़ता-ए-इश्क़ की दी सज़ा कि मिज़ा से मर्दुम-ए-चश्म ने
मिरा दिल दिखा के ये कह दिया इसे लो ये क़ाबिल-ए-दार है

ये ख़ुदा ही जाने वो कौन था जो शहीद-ए-नाज़-ओ-अदा हुआ
कि उड़ी है ख़ाक-ए-रह-ए-सनम तो ख़िज़ाँ में रंग-ए-बहार है

हुईं तर्क सारी मोहब्बतें मिरे सर पे ढाई हैं आफ़तें
यही दिल के लेने में शर्त थी यही मुझ से क़ौल-ओ-क़रार है

ये जुनूँ की देखिए पुख़्तगी जो कभी किसी ने न हो सुनी
मिरे पैरहन का जो तार है वो हर एक रेशा-ए-ख़ार है

कोई दिल की निकली न आरज़ू हुआ रंज-ओ-ग़म से जिगर लहू
फिरे ख़ाक छानते कू-ब-कू न तो सब्र है न क़रार है

पस-ए-मर्ग भी हैं वही सितम हैं जफ़ाएँ रूह पे दम-ब-दम
इधर आते आते वो फिर गए जो सुना कि मेरा मज़ार है

मिरे सीने को न हदफ़ करो तपिश-ए-जिगर से डरे रहो
पर-ए-मुर्ग़-ए-तीर न जल उठें कि लहू ब-रंग-ए-शरार है

वो ख़ुशी दिखाई न चर्ख़ ने कि एवज़ में जिस के न ग़म दिए
कभी फ़र्श-ए-गुल है जो एक शब तो महीनों बिस्तर-ए-ख़ार है

जिसे दर्द-ए-नाला-ओ-आह है जो शहीद-ए-तेग़-ए-निगाह है
शब-ए-हिज्र उस की गवाह है वो 'हबीब'-ए-सीना-फ़िगार है

  - Habeeb Moosavi

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habeeb Moosavi

As you were reading Shayari by Habeeb Moosavi

Similar Writers

our suggestion based on Habeeb Moosavi

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari