tum to kahte the | तुम तो कहते थे

  - Iftikhar Bukhari

tum to kahte the
duniya badlne ko hai
chhote chhote the ham
falsafi kah ke sab chhedte the tumhein
fulan ne kaha hai
fulan ne likha hai
kitaabon se dete the akshar hawaale
savere savere
mujhe roz le jaate the
saath istaal par
muft akhbaar padhne
ye dhun thi
ki bas ho na ho
aaj duniya badlne ki achhi khabar
chap gai ho

zamaane ki aandhi mein udte hue
tukde akhbaar ke
ham juda ho gaye
phir mile hi nahin

iftikhaar
ab mere sheesha-e-umr mein
aakhiri ret hai

chand aainda akhbaar baaki hain shaayad
tire naqsh dhundla chuke hain
meri yaad mein
par tira naam main bhool saka nahin
mere bachpan ke ai dost
ham dono hamnaam the na

nahin jaanta
tum kahaan ho
ya shaayad nahin ho abhi tak
meri tarah duniya mein
duniya jo badli nahin

haan
jo istaal tha na
vo akhbaar ka
railway road par
us jagah ek jutoon ki dukaan hai
us zamaane ke hawker sabhi mar chuke hain

तुम तो कहते थे
दुनिया बदलने को है
छोटे छोटे थे हम
फ़लसफ़ी कह के सब छेड़ते थे तुम्हें
फुलाँ ने कहा है
फुलाँ ने लिखा है
किताबों से देते थे अक्सर हवाले
सवेरे सवेरे
मुझे रोज़ ले जाते थे
साथ इस्टाल पर
मुफ़्त अख़बार पढ़ने
ये धुन थी
कि बस हो न हो
आज दुनिया बदलने की अच्छी ख़बर
छप गई हो

ज़माने की आँधी में उड़ते हुए
टुकड़े अख़बार के
हम जुदा हो गए
फिर मिले ही नहीं

इफ़्तिख़ार
अब मिरे शीशा-ए-उम्र में
आख़िरी रेत है

चंद आइंदा अख़बार बाक़ी हैं शायद
तिरे नक़्श धुँदला चुके हैं
मिरी याद में
पर तिरा नाम मैं भूल सकता नहीं
मेरे बचपन के ऐ दोस्त
हम दोनों हमनाम थे ना

नहीं जानता
तुम कहाँ हो
या शायद नहीं हो अभी तक
मिरी तरह दुनिया में
दुनिया जो बदली नहीं

हाँ
जो इस्टाल था ना
वो अख़बार का
रेलवे रोड पर
उस जगह एक जूतों की दुकान है
उस ज़माने के हॉकर सभी मर चुके हैं

  - Iftikhar Bukhari

Subah Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Bukhari

Similar Moods

As you were reading Subah Shayari Shayari