ham sad-hazaar baar tujhe dekhte rahe
tha shauq be-mahaar tujhe dekhte rahe
kuchh ne to muskuraa ke kaha alvida'a magar
kuchh log ashk-baar tujhe dekhte rahe
phir yun hua ki saare badan par nikal padeen
aankhen kai hazaar tujhe dekhte rahe
deewaar-e-jaan se naqsh to tahleel ho gaye
mizgaan ke aar-paar tujhe dekhte rahe
ai husn-e-la-zavaal tu aaya jo baam par
sadiyon ke be-qaraar tujhe dekhte rahe
deeda-varaan-e-shauq na aankhen jhapak sake
lamhon ka kya shumaar tujhe dekhte rahe
हम सद-हज़ार बार तुझे देखते रहे
था शौक़ बे-महार तुझे देखते रहे
कुछ ने तो मुस्कुरा के कहा अलविदा'अ मगर
कुछ लोग अश्क-बार तुझे देखते रहे
फिर यूँ हुआ कि सारे बदन पर निकल पड़ीं
आँखें कई हज़ार तुझे देखते रहे
दीवार-ए-जाँ से नक़्श तो तहलील हो गए
मिज़्गाँ के आर-पार तुझे देखते रहे
ऐ हुस्न-ए-ला-ज़वाल तू आया जो बाम पर
सदियों के बे-क़रार तुझे देखते रहे
दीदा-वरान-ए-शौक़ न आँखें झपक सके
लम्हों का क्या शुमार तुझे देखते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Shahid Abu Saad
our suggestion based on Iftikhar Shahid Abu Saad
As you were reading Badan Shayari Shayari