ye socha hai ki mar jaayen tumhaare vaar se pehle
tumhaari jeet ho jaaye hamaari haar se pehle
kisi lamhe tumhaara vaar kaari ho bhi saka hai
magar ye sar hi jaayega meri dastaar se pehle
bata kitna gira saka hoon khud ko teri khwaahish par
mera mea'ar bhi to hai tire mea'ar se pehle
nazaara-ha-e-dilkash se guzar jaata tha begaana
magar ai qaamat-e-zeba tire deedaar se pehle
sitaaron ki tarah chamke hamaare khoon ke chheente
ki ham ne sar kataaya hai faraaz-e-daar se pehle
talaatum-khez maujon se mujhe ladna to aata hai
magar main doob saka hoon kabhi manjhdhaar se pehle
tira hi aks meri aankh ke til mein farozaan hai
tujhe main dekh saka hoon tire deedaar se pehle
kahi bhi jurm se pehle saza waajib nahin hoti
koi kaafir nahin hota magar inkaar se pehle
naye imkaan dhoondegii hamaari justuju shaahid
ham ab ke dar banaayenge magar deewaar se pehle
ये सोचा है कि मर जाएँ तुम्हारे वार से पहले
तुम्हारी जीत हो जाए हमारी हार से पहले
किसी लम्हे तुम्हारा वार कारी हो भी सकता है
मगर ये सर ही जाएगा मिरी दस्तार से पहले
बता कितना गिरा सकता हूँ ख़ुद को तेरी ख़्वाहिश पर
मिरा मेआ'र भी तो है तिरे मेआ'र से पहले
नज़ारा-हा-ए-दिलकश से गुज़र जाता था बेगाना
मगर ऐ क़ामत-ए-ज़ेबा तिरे दीदार से पहले
सितारों की तरह चमके हमारे ख़ून के छींटे
कि हम ने सर कटाया है फ़राज़-ए-दार से पहले
तलातुम-ख़ेज़ मौजों से मुझे लड़ना तो आता है
मगर मैं डूब सकता हूँ कभी मंजधार से पहले
तिरा ही अक्स मेरी आँख के तिल में फ़रोज़ाँ है
तुझे मैं देख सकता हूँ तिरे दीदार से पहले
कहीं भी जुर्म से पहले सज़ा वाजिब नहीं होती
कोई काफ़िर नहीं होता मगर इंकार से पहले
नए इम्कान ढूँडेगी हमारी जुस्तुजू 'शाहिद'
हम अब के दर बनाएँगे मगर दीवार से पहले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Shahid Abu Saad
our suggestion based on Iftikhar Shahid Abu Saad
As you were reading Gunaah Shayari Shayari