sada-e-shauq sukoot-e-labi se sharminda | सदा-ए-शौक़ सुकूत-ए-लबी से शर्मिंदा

  - Iftikhar Shahid Abu Saad

sada-e-shauq sukoot-e-labi se sharminda
daroon ka shor meri khaamoshi se sharminda

kaho to aaj zara sa sanwaar luun khud ko
ki aaine hain meri saadgi se sharminda

ajeeb dohri izzat ka saamna hai inhen
koi kisi se to koi kisi se sharminda

hamaare haath jo dastak na de sake dar par
hamaare haath rahe us kajee se sharminda

ham apni khaak jahaan mein udaaye firte hain
ai shehr-e-yaar tumhaari gali se sharminda

ham is sadi mein bhi manzil se aashna na hue
ye aur baat hai pichhli sadi se sharminda

hai mere paas ye luknat-zada zabaan shaahid
ai khush-kalaam tiri nagmgi se sharminda

सदा-ए-शौक़ सुकूत-ए-लबी से शर्मिंदा
दरूँ का शोर मिरी ख़ामुशी से शर्मिंदा

कहो तो आज ज़रा सा सँवार लूँ ख़ुद को
कि आईने हैं मिरी सादगी से शर्मिंदा

अजीब दोहरी इज़्ज़त का सामना है इन्हें
कोई किसी से तो कोई किसी से शर्मिंदा

हमारे हाथ जो दस्तक न दे सके दर पर
हमारे हाथ रहे उस कजी से शर्मिंदा

हम अपनी ख़ाक जहाँ में उड़ाए फिरते हैं
ऐ शहर-ए-यार तुम्हारी गली से शर्मिंदा

हम इस सदी में भी मंज़िल से आश्ना न हुए
ये और बात है पिछली सदी से शर्मिंदा

है मेरे पास ये लुक्नत-ज़दा ज़बाँ 'शाहिद'
ऐ ख़ुश-कलाम तिरी नग़्मगी से शर्मिंदा

  - Iftikhar Shahid Abu Saad

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Shahid Abu Saad

As you were reading Shayari by Iftikhar Shahid Abu Saad

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Shahid Abu Saad

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari