shaam hote hi charaagon ko jalane waale | शाम होते ही चराग़ों को जलाने वाले

  - Iftikhar Shahid Abu Saad

shaam hote hi charaagon ko jalane waale
laut ke aate nahin chhod ke jaane waale

tu meri aankh ko bhaaya hai mere dil ko nahin
tere atwaar to lagte hain zamaane waale

umr bhar tujh ko mera khwaab nahin aayega
vasl ki shaam mera hijr manaane waale

ya'ni kuchh roz tujhe chhod ke main bhi khush tha
mujh ko ye baat bataate hain bataane waale

zindagi aaj tujhe chhod diya hai ham ne
ham nahin aaj tire naaz uthaane waale

tu ne dekhi mere haathon ki mahaarat lekin
vo mere paanv mera chaak ghumaane waale

shauq-e-nazzaara liye aankh kidhar jaayegi
husn waale hain tire shehar se jaane waale

ye bhi mumkin hai hawa koi tamasha kar de
ham tire naam ki shamaein hain jalane waale

शाम होते ही चराग़ों को जलाने वाले
लौट के आते नहीं छोड़ के जाने वाले

तू मिरी आँख को भाया है मिरे दिल को नहीं
तेरे अतवार तो लगते हैं ज़माने वाले

उम्र भर तुझ को मिरा ख़्वाब नहीं आएगा
वस्ल की शाम मिरा हिज्र मनाने वाले

या'नी कुछ रोज़ तुझे छोड़ के मैं भी ख़ुश था
मुझ को ये बात बताते हैं बताने वाले

ज़िंदगी आज तुझे छोड़ दिया है हम ने
हम नहीं आज तिरे नाज़ उठाने वाले

तू ने देखी मिरे हाथों की महारत लेकिन
वो मिरे पाँव मिरा चाक घुमाने वाले

शौक़-ए-नज़्ज़ारा लिए आँख किधर जाएगी
हुस्न वाले हैं तिरे शहर से जाने वाले

ये भी मुमकिन है हवा कोई तमाशा कर दे
हम तिरे नाम की शमएँ हैं जलाने वाले

  - Iftikhar Shahid Abu Saad

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Shahid Abu Saad

As you were reading Shayari by Iftikhar Shahid Abu Saad

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Shahid Abu Saad

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari