vo khwaab ya khayal hai main jaan luun to kuchh kahoon
jo ranj-e-maah-o-saal hai main jaan luun to kuchh kahoon
abhi mujhe khabar nahin main kis liye udaas hoon
jo huzn hai malaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
ghubaar-e-aarzoo chatte to phir koi khabar mile
ye hijr hai visaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
faqih-e-shahr ek jaam pee ke dekh luun zara
haraam ya halaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
kai dinon se ek she'r bhi nahin kaha gaya
urooj ya zawaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
go zakham sil gaye magar kasak to aur badh gai
ye kaisa indimaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
kali chatkane deejie abhi na mujh se poochiye
ye zard hai ki laal hai main jaan luun to kuchh kahoon
radif aur qaafiye nibha diye gaye magar
ghazal bhi la-zawaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
abhi to mere paas tha abhi ye dil kidhar gaya
ye zulf hai ki jaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
hamaare saath yaar log phir se haath kar gaye
ya ab ke teri chaal hai main jaan luun to kuchh kahoon
वो ख़्वाब या ख़याल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
जो रंज-ए-माह-ओ-साल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
अभी मुझे ख़बर नहीं मैं किस लिए उदास हूँ
जो हुज़्न है मलाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
ग़ुबार-ए-आरज़ू छटे तो फिर कोई ख़बर मिले
ये हिज्र है विसाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
फ़क़ीह-ए-शहर एक जाम पी के देख लूँ ज़रा
हराम या हलाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
कई दिनों से एक शे'र भी नहीं कहा गया
उरूज या ज़वाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
गो ज़ख़्म सिल गए मगर कसक तो और बढ़ गई
ये कैसा इंदिमाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
कली चटकने दीजिए अभी न मुझ से पूछिए
ये ज़र्द है कि लाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
रदीफ़ और क़ाफ़िए निभा दिए गए मगर
ग़ज़ल भी ला-ज़वाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
अभी तो मेरे पास था अभी ये दिल किधर गया
ये ज़ुल्फ़ है कि जाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
हमारे साथ यार लोग फिर से हाथ कर गए
या अब के तेरी चाल है मैं जान लूँ तो कुछ कहूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Shahid Abu Saad
our suggestion based on Iftikhar Shahid Abu Saad
As you were reading Mehboob Shayari Shayari