ab to aate honge kab ke bheje hain
main ne tum ko lene raaste bheje hain
apni taraf se tera waqt bachaaya hai
teri taraf se khud ko dilaase bheje hain
us ki lugat mein tanhaai ka lafz bhi hai
jis ne har ik shay ke jode bheje hain
qaasid ki jaan-bakhshi par mamnoon hoon main
khat mein us ne khat ke purze bheje hain
kaise kam ho sakte hain jo gham tu ne
maap aur taul ke andaaze se bheje hain
sarhad paar kisi par jab bhi pyaar aaya
hum-saayon ko yoonhi tohfe bheje hain
taarikee ham kheench ke laaye hain ghar tak
doobte suraj ko bas tinke bheje hain
amn ki khaatir itna hi kar saka tha
main ne jang mein apne bete bheje hain
अब तो आते होंगे कब के भेजे हैं
मैं ने तुम को लेने रस्ते भेजे हैं
अपनी तरफ़ से तेरा वक़्त बचाया है
तेरी तरफ़ से ख़ुद को दिलासे भेजे हैं
उस की लुग़त में तन्हाई का लफ़्ज़ भी है
जिस ने हर इक शय के जोड़े भेजे हैं
क़ासिद की जाँ-बख़्शी पर मम्नून हूँ मैं
ख़त में उस ने ख़त के पुर्ज़े भेजे हैं
कैसे कम हो सकते हैं जो ग़म तू ने
माप और तौल के अंदाज़े से भेजे हैं
सरहद पार किसी पर जब भी प्यार आया
हम-सायों को यूँही तोहफ़े भेजे हैं
तारीकी हम खींच के लाए हैं घर तक
डूबते सूरज को बस तिनके भेजे हैं
अम्न की ख़ातिर इतना ही कर सकता था
मैं ने जंग में अपने बेटे भेजे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ikram Basra
our suggestion based on Ikram Basra
As you were reading Sooraj Shayari Shayari