raaste kitna thak jaate hain
phir bhi manzil tak jaate hain
patton ko aaraam nahin hai
kaan hawa ke pak jaate hain
lamhon ko aasaan na lena
lamhe sadiyaan faq jaate hain
ek taraf se tum aate ho
chaaron or dhadak jaate hain
ek mo'attar yaad ke jhonke
taaza lams chhidak jaate hain
qadmon ki aadat hai yoonhi
soo-e-yaar sarak jaate hain
jaane do logon ki baatein
kuchh bhi aa kar bak jaate hain
rasta gar bhi shart nahin hai
raaste aap bhatk jaate hain
aankhen chaukhat ho jaati hain
mausam be-dastak jaate hain
रस्ते कितना थक जाते हैं
फिर भी मंज़िल तक जाते हैं
पत्तों को आराम नहीं है
कान हवा के पक जाते हैं
लम्हों को आसान न लेना
लम्हे सदियाँ फ़क़ जाते हैं
एक तरफ़ से तुम आते हो
चारों ओर धड़क जाते हैं
एक मोअ'त्तर याद के झोंके
ताज़ा लम्स छिड़क जाते हैं
क़दमों की आदत है यूँही
सू-ए-यार सरक जाते हैं
जाने दो लोगों की बातें
कुछ भी आ कर बक जाते हैं
रस्ता गर भी शर्त नहीं है
रस्ते आप भटक जाते हैं
आँखें चौखट हो जाती हैं
मौसम बे-दस्तक जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ikram Basra
our suggestion based on Ikram Basra
As you were reading Kashmir Shayari Shayari