zindagi jab tire aasaar nazar aayenge
ham tire shehar ke us paar nazar aayenge
meri aankhon ka kinaara jo tumhein kaafi ho
mere baazu tumhein patwaar nazar aayenge
kahi khud ko nazar aaye bhi tire ba'ad to ham
saans lete hue be-kaar nazar aayenge
log dhundenge hamein dhoondhne waalon ki tarah
ham pas-e-chashm-e-nam-e-yaar nazar aayenge
aashiqi aise qabeele mein ri'ayat kaisi
paani bharte hue sardaar nazar aayenge
koi malhaar na soojhega tire ba'ad hamein
baanjh dharti ke zameen-daar nazar aayenge
dil ke parde pe agar ek nazar daalen to
kuchh pareshaan se kirdaar nazar aayenge
ज़िंदगी जब तिरे आसार नज़र आएँगे
हम तिरे शहर के उस पार नज़र आएँगे
मेरी आँखों का किनारा जो तुम्हें काफ़ी हो
मेरे बाज़ू तुम्हें पतवार नज़र आएँगे
कहीं ख़ुद को नज़र आए भी तिरे बा'द तो हम
साँस लेते हुए बे-कार नज़र आएँगे
लोग ढूँडेंगे हमें ढूँडने वालों की तरह
हम पस-ए-चश्म-ए-नम-ए-यार नज़र आएँगे
आशिक़ी ऐसे क़बीले में रिआ'यत कैसी
पानी भरते हुए सरदार नज़र आएँगे
कोई मल्हार न सूझेगा तिरे बा'द हमें
बाँझ धरती के ज़मीं-दार नज़र आएँगे
दिल के पर्दे पे अगर एक नज़र डालें तो
कुछ परेशान से किरदार नज़र आएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ikram Basra
our suggestion based on Ikram Basra
As you were reading Romance Shayari Shayari