logon ke murshad ek taraf
aur zehan mein shaayad ek taraf
lekin kehne ko zinda hain
marna sau feesad ek taraf
aawaazen qaid nahin hoti
had ho ya sarhad ek taraf
tum aao to ho saka hai
jeene ka maqsad ek taraf
ab tak jau bhi tahreer hua
tere naam ke abjad ek taraf
duniya mein sab kuchh faani hai
tere khaal-o-khud ek taraf
ham thehre hue raston se hain
ye rukhsat-o-aamad ek taraf
naqshe kaaghaz ke tukde hain
seene mein sarhad ek taraf
insaan khata ka putla hai
albatta murtad ek taraf
bas naam rahe ga allah ka
baaki shadd-o-mad ek taraf
लोगों के मुर्शद एक तरफ़
और ज़ेहन में शायद एक तरफ़
लेकिन कहने को ज़िंदा हैं
मरना सौ फ़ीसद एक तरफ़
आवाज़ें क़ैद नहीं होतीं
हद हो या सरहद एक तरफ़
तुम आओ तो हो सकता है
जीने का मक़्सद एक तरफ़
अब तक जौ भी तहरीर हुआ
तेरे नाम के अबजद एक तरफ़
दुनिया में सब कुछ फ़ानी है
तेरे ख़ाल-ओ-ख़द एक तरफ़
हम ठहरे हुए रस्तों से हैं
ये रुख़्सत-ओ-आमद एक तरफ़
नक़्शे काग़ज़ के टुकड़े हैं
सीने में सरहद एक तरफ़
इंसान ख़ता का पुतला है
अलबत्ता मुर्तद एक तरफ़
बस नाम रहे गा अल्लाह का
बाक़ी शद्द-ओ-मद एक तरफ़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ikram Basra
our suggestion based on Ikram Basra
As you were reading Aadmi Shayari Shayari