na daleelen na hi abaabilein | न दलीलें न ही अबाबीलें

  - Ikram Basra

na daleelen na hi abaabilein
sabr ke ghoont hain wahi pee len

kaisi be-khwab hain sabhi aankhen
jis tarah khushk-o-be-amaan jheelein

maat kha jaayen zabt se apne
aur insaaniyat pe baazi len

ek insaan ka lahu kar ke
us pe shaitaan ki gawaahi len

kooch kar jaayen aise kooche se
saath naakaamiyon ki pounji len

jahal mein sahal hai unhen shaayad
us pe ik doosre se thapki len

bas nahin chal raha farishton ka
warna paltee hui ye dharti len

jin ke shajre mein bas jahaalat hai
un se naslon ki rahnumaai len

raakh suraj hi ki nikalti hai
jab kisi raat ki talaashi len

ye syaahi hai is liye shaayad
taaki akhbaar apni surkhi len

kitne hi girye ham pe waajib hain
par suhoolat nahin ki roohi len

sirf paida hon us zamaane mein
aur phir umr bhar tasalli len

sakht naadim hoon apne bacchon se
yahi maahol hai agar jee len

न दलीलें न ही अबाबीलें
सब्र के घूँट हैं वही पी लें

कैसी बे-ख़्वाब हैं सभी आँखें
जिस तरह ख़ुश्क-ओ-बे-अमाँ झीलें

मात खा जाएँ ज़ब्त से अपने
और इंसानियत पे बाज़ी लें

एक इंसान का लहू कर के
उस पे शैतान की गवाही लें

कूच कर जाएँ ऐसे कूचे से
साथ नाकामियों की पूँजी लें

जहल में सहल है उन्हें शायद
उस पे इक दूसरे से थपकी लें

बस नहीं चल रहा फ़रिश्तों का
वर्ना पल्टी हुई ये धरती लें

जिन के शजरे में बस जहालत है
उन से नस्लों की रहनुमाई लें

राख सूरज ही की निकलती है
जब किसी रात की तलाशी लें

ये स्याही है इस लिए शायद
ताकि अख़बार अपनी सुर्ख़ी लें

कितने ही गिर्ये हम पे वाजिब हैं
पर सुहूलत नहीं कि रूही लें

सिर्फ़ पैदा हों उस ज़माने में
और फिर उम्र भर तसल्ली लें

सख़्त नादिम हूँ अपने बच्चों से
यही माहौल है अगर जी लें

  - Ikram Basra

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ikram Basra

As you were reading Shayari by Ikram Basra

Similar Writers

our suggestion based on Ikram Basra

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari