husn agar aashkaar ho jaaye
fitna-e-rozgaar ho jaaye
dil ko is tarah dekhne waale
dil agar be-qaraar ho jaaye
shokhi-e-yaar ka taqaza hai
shauq be-ikhtiyaar ho jaaye
koi shikwa rahe na akbar ko
tu agar ek baar ho jaaye
हुस्न अगर आश्कार हो जाए
फ़ित्ना-ए-रोज़गार हो जाए
दिल को इस तरह देखने वाले
दिल अगर बे-क़रार हो जाए
शोख़ी-ए-यार का तक़ाज़ा है
शौक़ बे-इख़्तियार हो जाए
कोई शिकवा रहे न 'अकबर' को
तू अगर एक बार हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jalaluddin Akbar
our suggestion based on Jalaluddin Akbar
As you were reading Chehra Shayari Shayari