haathon mein liye dil ke nazaane nazar aaye
yun bhi tiri raahon mein deewane nazar aaye
farzaanon ki basti mein deewane nahin dekhe
deewaanon ki basti mein farzaane nazar aaye
ab tak tiri duniya ka iqbaal tha rakhwaala
aage tiri duniya mein kya jaane nazar aaye
kaliyon ke chatkate hi ye kaisi fazaa badli
daaman mein gulistaan ke veeraane nazar aaye
maazi ke dhundlakon mein main kho sa gaya akshar
aise bhi risaalon mein afsaane nazar aaye
guzre na jaleel aise haalaat se dushman bhi
jaane hue saathi bhi anjaane nazar aaye
हाथों में लिए दिल के नज़राने नज़र आए
यूँ भी तिरी राहों में दीवाने नज़र आए
फ़र्ज़ानों की बस्ती में दीवाने नहीं देखे
दीवानों की बस्ती में फ़रज़ाने नज़र आए
अब तक तिरी दुनिया का इक़बाल था रखवाला
आगे तिरी दुनिया में क्या जाने नज़र आए
कलियों के चटकते ही ये कैसी फ़ज़ा बदली
दामन में गुलिस्ताँ के वीराने नज़र आए
माज़ी के धुँदलकों में मैं खो सा गया अक्सर
ऐसे भी रिसालों में अफ़्साने नज़र आए
गुज़रे न 'जलील' ऐसे हालात से दुश्मन भी
जाने हुए साथी भी अनजाने नज़र आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel Allahabadi
our suggestion based on Jaleel Allahabadi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari