mera anees mera gham hai tum na saath chalo | मिरा अनीस मिरा ग़म है तुम न साथ चलो

  - Jaleel Allahabadi

mera anees mera gham hai tum na saath chalo
tumhaara aur hi aalam hai tum na saath chalo

ajab tazaad ka mausam hai tum na saath chalo
chhupaaye sholoon ko shabnam hai tum na saath chalo

khushi to ghark-e-gham-e-rozgaar hai meri
lab-e-hayaat pe maatam hai tum na saath chalo

har ek mod pe jalte hain gurbaton ke charaagh
qadam qadam pe naya gham hai tum na saath chalo

zameen khoon ugalati hai charkh angaare
nizaam-e-dehr bhi barham hai tum na saath chalo

abhi jali to hai tahzeeb-e-nau ki sham'a magar
abhi ye raushni madhham hai tum na saath chalo

jigar ke khun se banaya hai main ne surkh jise
vo mere haath mein parcham hai tum na saath chalo

abhi banaane hain aaeen daar-o-zindaa ke
ye farz ham pe muqaddam hai tum na saath chalo

har ek taar larzata hai saaz-e-hasti ka
ajeeb waqt ka sargam hai tum na saath chalo

hai cheera dasht-e-zamaana ye un se kah do jaleel
tumhaari zulf bhi barham hai tum na saath chalo

मिरा अनीस मिरा ग़म है तुम न साथ चलो
तुम्हारा और ही आलम है तुम न साथ चलो

अजब तज़ाद का मौसम है तुम न साथ चलो
छुपाए शो'लों को शबनम है तुम न साथ चलो

ख़ुशी तो ग़र्क़-ए-ग़म-ए-रोज़गार है मेरी
लब-ए-हयात पे मातम है तुम न साथ चलो

हर एक मोड़ पे जलते हैं ग़ुर्बतों के चराग़
क़दम क़दम पे नया ग़म है तुम न साथ चलो

ज़मीन ख़ून उगलती है चर्ख़ अंगारे
निज़ाम-ए-दहर भी बरहम है तुम न साथ चलो

अभी जली तो है तहज़ीब-ए-नौ की शम्अ' मगर
अभी ये रौशनी मद्धम है तुम न साथ चलो

जिगर के ख़ूँ से बनाया है मैं ने सुर्ख़ जिसे
वो मेरे हाथ में परचम है तुम न साथ चलो

अभी बनाने हैं आईन दार-ओ-ज़िन्दाँ के
ये फ़र्ज़ हम पे मुक़द्दम है तुम न साथ चलो

हर एक तार लरज़ता है साज़-ए-हस्ती का
अजीब वक़्त का सरगम है तुम न साथ चलो

है चीरा दस्त-ए-ज़माना ये उन से कह दो 'जलील'
तुम्हारी ज़ुल्फ़ भी बरहम है तुम न साथ चलो

  - Jaleel Allahabadi

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel Allahabadi

As you were reading Shayari by Jaleel Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari