mujhe tum se mohabbat ho gai hai
gham-e-duniya se furqat ho gai hai
hamaara kaam hai moti lutaana
hamein rone ki aadat ho gai hai
jahaan mein qadr-o-qeemat mere gham ki
tire gham ki badaulat ho gai hai
dil-e-shaa'ir ke naghmaat haseen se
tire jalvo ki shohrat ho gai hai
kahaan hain misr ke bazaar waale
dilon ki nisf qeemat ho gai hai
nikalte hain mere ahbaab bach kar
mohabbat bhi siyaasat ho gai hai
jaleel ab dil nahin milta kisi se
ajeeb apni tabi'at ho gai hai
मुझे तुम से मोहब्बत हो गई है
ग़म-ए-दुनिया से फ़ुर्सत हो गई है
हमारा काम है मोती लुटाना
हमें रोने की आदत हो गई है
जहाँ में क़द्र-ओ-क़ीमत मेरे ग़म की
तिरे ग़म की बदौलत हो गई है
दिल-ए-शाइ'र के नग़्मात हसीं से
तिरे जल्वों की शोहरत हो गई है
कहाँ हैं मिस्र के बाज़ार वाले
दिलों की निस्फ़ क़ीमत हो गई है
निकलते हैं मिरे अहबाब बच कर
मोहब्बत भी सियासत हो गई है
'जलील' अब दिल नहीं मिलता किसी से
अजीब अपनी तबीअ'त हो गई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel Allahabadi
our suggestion based on Jaleel Allahabadi
As you were reading Udas Shayari Shayari