husool-e-gham b-alfaaz-e-digar kuchh aur hota hai | हुसूल-ए-ग़म ब-अल्फ़ाज़-ए-दिगर कुछ और होता है

  - Jaleel Allahabadi

husool-e-gham b-alfaaz-e-digar kuchh aur hota hai
dil-e-barbaad ka azm-e-safar kuchh aur hota hai

tuloo-e-subh ki kirnen bahut hi khoob hain lekin
jamaal-e-shehr-e-dil waqt-e-sehr kuchh aur hota hai

masaib kis ko kahte hain tumheen jaano tumheen samjho
jahaan waalo hamaara dil jigar kuchh aur hota hai

sharaab-e-talkh kya hai zahar-e-qaatil tak piya ham ne
magar in mast nazaron ka asar kuchh aur hota hai

muqaabil aaine ke aaina bhi ham ne dekha hai
ghataon mein mera rashk-e-qamar kuchh aur hota hai

jahaan paabandiyaan laazim na hon sajda-guzaaron par
ibadat ke liye vo sang-e-dar kuchh aur hota hai

jaleel akshar ye paaya imtiyaaz-e-ishq mein ham ne
idhar kuchh aur hota hai udhar kuchh aur hota hai

हुसूल-ए-ग़म ब-अल्फ़ाज़-ए-दिगर कुछ और होता है
दिल-ए-बर्बाद का अज़्म-ए-सफ़र कुछ और होता है

तुलू-ए-सुब्ह की किरनें बहुत ही ख़ूब हैं लेकिन
जमाल-ए-शहर-ए-दिल वक़्त-ए-सहर कुछ और होता है

मसाइब किस को कहते हैं तुम्हीं जानो तुम्हीं समझो
जहाँ वालो हमारा दिल जिगर कुछ और होता है

शराब-ए-तल्ख़ क्या है ज़हर-ए-क़ातिल तक पिया हम ने
मगर इन मस्त नज़रों का असर कुछ और होता है

मुक़ाबिल आइने के आइना भी हम ने देखा है
घटाओं में मिरा रश्क-ए-क़मर कुछ और होता है

जहाँ पाबंदियाँ लाज़िम न हों सज्दा-गुज़ारों पर
इबादत के लिए वो संग-ए-दर कुछ और होता है

'जलील' अक्सर ये पाया इम्तियाज़-ए-इश्क़ में हम ने
इधर कुछ और होता है उधर कुछ और होता है

  - Jaleel Allahabadi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel Allahabadi

As you were reading Shayari by Jaleel Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari