nahin ho tum to har shay ajnabi ma'aloom hoti hai | नहीं हो तुम तो हर शय अजनबी मा'लूम होती है

  - Jaleel Allahabadi

nahin ho tum to har shay ajnabi ma'aloom hoti hai
bahaar-e-zindagi kaanton bhari ma'aloom hoti hai

charaagh-e-zeest ki lau thartharati hai chale aao
mujhe har saans apni aakhiri ma'aloom hoti hai

bataaun kya tumhaari chashm-e-ulfat ki asar-rezi
rag-o-pai mein utarti barq si ma'aloom hoti hai

sitam mujh par usi andaaz se paiham kiye jaao
tumhaari dushmani bhi dosti ma'aloom hoti hai

jahaan dekha kisi ne bhi hamein chashm-e-mohabbat se
palat kar zindagi aayi hui ma'aloom hoti hai

tawaaf-e-dair-o-ka'ba se yahi haasil hua mujh ko
mohabbat hi saraapa bandagi ma'aloom hoti hai

jaleel ik sham-e-hasrat bujh gai to gham nahin is ka
abhi daag-e-jigar mein raushni ma'aloom hoti hai

नहीं हो तुम तो हर शय अजनबी मा'लूम होती है
बहार-ए-ज़िंदगी काँटों भरी मा'लूम होती है

चराग़-ए-ज़ीस्त की लौ थरथराती है चले आओ
मुझे हर साँस अपनी आख़िरी मा'लूम होती है

बताऊँ क्या तुम्हारी चश्म-ए-उल्फ़त की असर-रेज़ी
रग-ओ-पै में उतरती बर्क़ सी मा'लूम होती है

सितम मुझ पर उसी अंदाज़ से पैहम किए जाओ
तुम्हारी दुश्मनी भी दोस्ती मा'लूम होती है

जहाँ देखा किसी ने भी हमें चश्म-ए-मोहब्बत से
पलट कर ज़िंदगी आई हुई मा'लूम होती है

तवाफ़-ए-दैर-ओ-का'बा से यही हासिल हुआ मुझ को
मोहब्बत ही सरापा बंदगी मा'लूम होती है

'जलील' इक शम-ए-हसरत बुझ गई तो ग़म नहीं इस का
अभी दाग़-ए-जिगर में रौशनी मा'लूम होती है

  - Jaleel Allahabadi

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel Allahabadi

As you were reading Shayari by Jaleel Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari