safar par nikla musaafir palat kar apne ghar ko aa jaata hai | सफ़र पर निकला मुसाफ़िर पलट कर अपने घर को आ जाता है

  - Javed Nadeem

safar par nikla musaafir palat kar apne ghar ko aa jaata hai
zameen daayere mein ghoom kar phir usi maqaam se apne safar ki ibtida karti hai
waqt ek tez raftaar ghoda hai
jo haal ko maazi mein tabdeel karta mustaqbil ki taraf dauda chala ja raha hai
kumhaar ka chaak ghoom raha hai
aur
kumhaar ke mashshaq haath mitti se mukhtalif paikar taraash rahe hain
tahzeeb-o-tamaddun intiha ko pahunch kar phir apni ibtida ko palatte hain
tumhaari pasand na-pasand par tumhaare aslaaf asr-andaaz hain
aadmi apne sanskaaron se bandha hai
ye kaal-chakra
kumhaar ka ghoomta hua pahiya
tumhaari tahqeeq-e-tajdeed hai tumhaare pahlon ki
har mukammal naa-mukammal hai
har takhleeq
ek tajassus naa-mukammal se mukammal ki taraf
zindagi
ikaai mein ikaai ke jam'a ka amal
la-mahdood tak

सफ़र पर निकला मुसाफ़िर पलट कर अपने घर को आ जाता है
ज़मीन दाएरे में घूम कर फिर उसी मक़ाम से अपने सफ़र की इब्तिदा करती है
वक़्त एक तेज़ रफ़्तार घोड़ा है
जो हाल को माज़ी में तब्दील करता मुस्तक़बिल की तरफ़ दौड़ा चला जा रहा है
कुम्हार का चाक घूम रहा है
और
कुम्हार के मश्शाक़ हाथ मिट्टी से मुख़्तलिफ़ पैकर तराश रहे हैं
तहज़ीब-ओ-तमद्दुन इंतिहा को पहुँच कर फिर अपनी इब्तिदा को पलटते हैं
तुम्हारी पसंद ना-पसंद पर तुम्हारे अस्लाफ़ असर-अंदाज़ हैं
आदमी अपने संस्कारों से बँधा है
ये काल-चक्र
कुम्हार का घूमता हुआ पहिया
तुम्हारी तहक़ीक़-ए-तज्दीद है तुम्हारे पहलों की
हर मुकम्मल ना-मुकम्मल है
हर तख़्लीक़
एक तजस्सुस ना-मुकम्मल से मुकम्मल की तरफ़
ज़िंदगी
इकाई में इकाई के जम्अ का अमल
ला-महदूद तक

  - Javed Nadeem

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Nadeem

As you were reading Shayari by Javed Nadeem

Similar Writers

our suggestion based on Javed Nadeem

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari