taqdeer-e-sham'a jalwa-e-jaanaana ban gaya | तक़दीर-ए-शम्अ' जल्वा-ए-जानाना बन गया

  - Kaifi Chirayyakoti

taqdeer-e-sham'a jalwa-e-jaanaana ban gaya
shola utha jo us se to parda na ban gaya

jo haal-e-dil tha kaif mein taaseer-e-dard tha
vo kahte kahte shauq ka afsaana ban gaya

jannat ki aarzoo se hai jannat ka kal vujood
veeraana kah diya jise veeraana ban gaya

yak qatra dil tha mast ka paimaana-e-naseeb
saaqi ne ki nigaah to may-khaana ban gaya

mauqa-shanaas husn-e-mohabbat ke baab mein
apna tha aur hashr mein begaana ban gaya

us ki talab mein jab na raha us ka kuchh lihaaz
andaaz-e-be-qaraar gadaayaana ban gaya

yun apne dar se taal diya us ke naaz ne
andaaz-e-lutf-e-khaas kareemaana ban gaya

kaafi haram ke dar pe tha jo kuchh vo faiz tha
haan but-kade mein sajda-e-shukraana ban gaya

तक़दीर-ए-शम्अ' जल्वा-ए-जानाना बन गया
शो'ला उठा जो उस से तो पर्दा न बन गया

जो हाल-ए-दिल था कैफ़ में तासीर-ए-दर्द था
वो कहते कहते शौक़ का अफ़्साना बन गया

जन्नत की आरज़ू से है जन्नत का कल वजूद
वीराना कह दिया जिसे वीराना बन गया

यक क़तरा दिल था मस्त का पैमाना-ए-नसीब
साक़ी ने की निगाह तो मय-ख़ाना बन गया

मौक़ा-शनास हुस्न-ए-मोहब्बत के बाब में
अपना था और हश्र में बेगाना बन गया

उस की तलब में जब न रहा उस का कुछ लिहाज़
अंदाज़-ए-बे-क़रार गदायाना बन गया

यूँ अपने दर से टाल दिया उस के नाज़ ने
अंदाज़-ए-लुत्फ़-ए-ख़ास करीमाना बन गया

'कैफ़ी' हरम के दर पे था जो कुछ वो फ़ैज़ था
हाँ बुत-कदे में सज्दा-ए-शुकराना बन गया

  - Kaifi Chirayyakoti

Raqs Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Chirayyakoti

As you were reading Shayari by Kaifi Chirayyakoti

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Chirayyakoti

Similar Moods

As you were reading Raqs Shayari Shayari