inaayat | "इनायत"

  - Kanor

inaayat

husn dekhna hai to aaina dekho jaanaan
husn dikhega qayamat dikhegi
meri aankhon me to sirf hasrat hai ibadat hai

jaise jhankaar kisi ghungroo ki
uske paajeb mein hone se mukammal hai
un paajeb ka naseeb tumhaare pahanne se kaamil hai
vaise hi us aaine ki bhi aas hogi
roz tumhe dekh kar vo khud ko sanwaarta hoga
khud ko tumhaare kaabil karta hoga
dekho usko bhi kabhi
usko bhi deedaar-e-husn ka mauka do

noor dekhna hai to apni maa ke chehre par dekho
jisse tummein ye ada aayi hai
unki aankhon mein iffat hai ishrat hai

mujhe na zar hona hai na zubar hona hai
tumhaari nazro ke sabse qareeb hona hai
kaajal khoobsurat to nahi hai
par usne tumhe haseen banaya hai
mujhe tumhaari aankhon ka kaajal hona hai
bahaal kal use dhulna hai
ye jaante hue bhi aankhon me raha
usne kabhi nikalne ki jumbish nahi ki

zurrat dekhni hai to meri kalam ki dekho
jisne tumhe sach dikhaaya
bhala bataaya kabhi kabhi bura kiya

dekhna hai kuchh agar to apne qareeb dekho jaanaan
un ghunghroon ko us kaajal ko
ghungroon ko kabhi na kabhi toot jaana hai
kaajal ko kabhi na kabhi dhulna hai
jahaan mein log bhi aise aayenge
ghungroon ki tarah kaajal ki tarah
merhabaan rahna unki taraf
unhi ki wajah se tum aaraish ho parivash ho

"इनायत"

हुस्न देखना है तो आईना देखो जानां
हुस्न दिखेगा कयामत दिखेगी
मेरी आँखों मे तो सिर्फ हसरत है इबादत है

जैसे झंकार किसी घुंगरू की
उसके पाजेब में होने से मुक्कमल है
उन पाजेब का नसीब तुम्हारे पहनने से कामिल है
वैसे ही उस आईने की भी आस होगी
रोज़ तुम्हे देख कर वो खुद को सँवारता होगा
ख़ुद को तुम्हारे काबिल करता होगा
देखो उसको भी कभी
उसको भी दीदार-ए-हुस्न का मौका दो

नूर देखना है तो अपनी माँ के चेहरे पर देखो
जिससे तुममें ये अदा आई है
उनकी आँखों में इफ़्फ़त है इश्रत है

मुझे न ज़र होना है न ज़बर होना है
तुम्हारी नज़रो के सबसे क़रीब होना है
काजल ख़ूबसूरत तो नही है
पर उसने तुम्हे हसीन बनाया है
मुझे तुम्हारी आँखों का काजल होना है
बहरहाल कल उसे धुलना है
ये जानते हुए भी आँखों मे रहा
उसने कभी निकलने की जुम्बिश नही की

ज़ुर्रत देखनी है तो मेरी कलम की देखो
जिसने तुम्हे सच दिखाया
भला बताया कभी कभी बुरा किया

देखना है कुछ अगर तो अपने क़रीब देखो जानाँ
उन घुंघरुओं को उस काजल को
घुँघरुओं को कभी न कभी टूट जाना है
काजल को कभी न कभी धुलना है
जहान में लोग भी ऐसे आएंगे
घुँघरुओं की तरह, काजल की तरह
मेरहबां रहना उनकी तरफ
उन्ही की वजह से तुम आराइश हो परिवश हो

  - Kanor

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kanor

As you were reading Shayari by Kanor

Similar Writers

our suggestion based on Kanor

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari