mujhko ab pehchaan ka zariyaa badalna chahiye
geet ghazlon ke haseen saanche mein dhalna chahiye
khushnuma hai har safar hamraah gar ho dilnasheen
aarzoo bas aur thoda aur chalna chahiye
ain mumkin subh tak ye khwaab zinda bhi na hon
khwaab aankhon mein tiri phir bhi machalna chahiye
narm lahja shokhiyaan phir bewafaai aakhirsh
ab dil-e-naadaan ko ulfat mein sambhalna chahiye
haal kursi ka siyaasatdaanon se ho jaanna
mazhabi galiyon mein tumko ja tahlna chahiye
khushmizaaji neend chehre ki hasi sab kho gai
dekh mujhko hijr ka mausam pighalna chahiye
ab andheron ki chiraagon se priya hai dosti
laazimi hai dil shuaaon ka ubalna chahiye
मुझको अब पहचान का ज़रिया बदलना चाहिए
गीत ग़ज़लों के हसीं साँचे में ढलना चाहिए
ख़ुशनुमा है हर सफ़र, हमराह गर हो दिलनशीं
आरज़ू बस और थोड़ा और चलना चाहिए
ऐन मुमकिन सुब्ह तक ये ख़्व़ाब ज़िन्दा भी न हों
ख़्व़ाब आँखों में तिरी फिर भी मचलना चाहिए
नर्म लहजा शोख़ियाँ फिर बेवफ़ाई आख़िरश
अब दिल-ए-नादाँ को उल्फ़त में सँभलना चाहिए
हाल कुर्सी का सियासतदानों से हो जानना
मज़हबी गलियों में तुमको जा टहलना चाहिए
ख़ुशमिज़ाजी नींद चेहरे की हँसी सब खो गई
देख मुझको हिज्र का मौसम पिघलना चाहिए
अब अँधेरों की चिराग़ों से 'प्रिया' है दोस्ती
लाज़िमी है दिल शुआओं का उबलना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Dosti Shayari Shayari