dil ka koocha phir kabhi mahka nahin
baad tere waqt bhi guzra nahin
har kisi se raabta rakha nahin
aur koi mujh talak rasta nahin
saans nadiyaan le rahi hain aakhiri
dil samandar ka magar bharta nahin
zor se pakdo na koi rishta tum
aab chhatke pyaalon mein thehra nahin
jism-o-jaan mein phir na aayi larzishen
lams tera le koi guzra nahin
betalluq guftagoo karti hoon main
jab kisi se dil mera milta nahin
kar rahi ho aaj bhi shikwa priya
zindagi ne shaayad tumhein tarsha nahin
दिल का कूचा फिर कभी महका नहीं
बाद तेरे वक़्त भी गुज़रा नहीं
हर किसी से राब्ता रक्खा नहीं
और कोई मुझ तलक रस्ता नहीं
साँस नदियाँ ले रही हैं आख़िरी
दिल समन्दर का मगर भरता नहीं
ज़ोर से पकड़ो न कोई रिश्ता तुम
आब चटके प्यालों में ठहरा नहीं
जिस्म-ओ-जाँ में फिर न आई लर्ज़िशें
लम्स तेरा ले कोई गुज़रा नहीं
बेतअल्लुक़ गुफ़्तगू करती हूँ मैं
जब किसी से दिल मेरा मिलता नहीं
कर रही हो आज भी शिकवा 'प्रिया'
ज़ीस्त ने शायद तुम्हें तरशा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Environment Shayari Shayari