tum akshar yaad aate ho bhulaane ke bahaane se
kahaan phir dil sambhalta laakh samjhaane bujhaane se
karoon koshish bahut main is ko bahla luun ya fusla luun
magar baccha nahin dil maan jaaye jo manaane se
puraana dhoondhne ko kuchh zameen-e-dil gai khodi
teri yaadein nikal aayein dabey dil ke khazaane se
palat kar neend mein bhi tera mujh se vo lipt jaana
kabhi jab haath sarkaaya tere maine sirhaane se
tum aaye qabr pe tab jaake soya chain se hoon main
bhatkati rooh phirti thi meri yaa ik zamaane se
tha ik vo daur do deewane pagle pagle firte the
hai ik ye daur do paagal phiren hain ab deewane se
nahin ho khatm tera dukh kisi shay se kisi may se
bhare hain zakhm marham se nahin patti lagaane se
तुम अक्सर याद आते हो भुलाने के बहाने से
कहाँ फिर दिल सँभलता लाख समझाने बुझाने से
करूँ कोशिश बहुत मैं इस को बहला लूँ या फुसला लूँ
मगर बच्चा नहीं दिल मान जाए जो मनाने से
पुराना ढूँडने को कुछ, ज़मीन–ए–दिल गई खोदी
तेरी यादें निकल आईं दबे दिल के ख़ज़ाने से
पलट कर नींद में भी तेरा मुझ से वो लिपट जाना
कभी जब हाथ सरकाया तेरे मैंने सिरहाने से
तुम आए क़ब्र पे तब जाके सोया चैन से हूँ मैं
भटकती रूह फिरती थी मेरी याँ इक ज़माने से
था इक वो दौर दो दीवाने पगले पगले फिरते थे
है इक ये दौर दो पागल फिरें हैं अब दिवाने से
नहीं हो ख़त्म तेरा दुख किसी शय से किसी मय से
भरे हैं ज़ख्म मरहम से नहीं पट्टी लगाने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by KUNAL
our suggestion based on KUNAL
As you were reading Sukoon Shayari Shayari