duniya se to jeet gaye ham lekin khud se haare hain | दुनिया से तो जीत गए हम लेकिन ख़ुद से हारे हैं

  - KUNAL

duniya se to jeet gaye ham lekin khud se haare hain
hamne bhi kuchh khwaab sajaakar in aankhon mein maare hain

kitne hi jazbaat likhe par bhej na tumko paaya main
draft mein jitne sev hain message saare naam tumhaare hain

daulat shohrat saathi sab hain par jeene ki wajah nahin
saans bhale lete hain par ham jeevan se uktaare hain

tumko kya de paayenge jo khud hi kisi se bichhde hain
dua mein haath uthaane waalon ham khud toote taare hain

na jeete jee koi kothee bangla na mare par taaj mahal
manch hamaare ghar hain aur yahi maqabre hamaare hain

दुनिया से तो जीत गए हम लेकिन ख़ुद से हारे हैं
हमने भी कुछ ख़्वाब सजाकर इन आँखों में मारे हैं

कितने ही जज़्बात लिखे पर भेज न तुमको पाया मैं
ड्राफ़्ट में जितने सेव हैं मैसेज सारे नाम तुम्हारे हैं

दौलत शोहरत साथी सब हैं पर जीने की वजह नहीं
साँस भले लेते हैं पर हम जीवन से उक्तारे हैं

तुमको क्या दे पाएँगे जो ख़ुद ही किसी से बिछड़े हैं
दुआ में हाथ उठाने वालों हम ख़ुद टूटे तारे हैं

न जीते जी कोई कोठी बंगला न मरे पर ताज महल
मंच हमारे घर हैं और यही मक़बरे हमारे हैं

  - KUNAL

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari