kabhi bhi ho nahin saka ye pyaar aahista aahista | कभी भी हो नहीं सकता ये प्यार आहिस्ता आहिस्ता

  - KUNAL

kabhi bhi ho nahin saka ye pyaar aahista aahista
magar haan dil mein bharta hai gubaar aahista aahista

abhi khaate ho kasmen saath jeene saath marne ki
ruko utarega sar se ye khumaar aahista aahista

hue pehle pehal to manmutaav aahista aahista
sajanwaa phir hue bairi hamaar aahista aahista

gali ki ek khidki jab khule tab jaam lagta hai
nikalte phir sabhi paidal sawaar aahista aahista

lagega waqt thoda aur lekin kaam zaari hai
sabhi aayenge mujh mein par sudhaar aahista aahista

badan khulne mein aakhir der ab kitni hi lagti hai
khula karte magar dil ke dwaar aahista aahista

chali hai banke dulhan jaan meri aaj doli mein
zara doli uthaana o kahaar aahista aahista

abhi rutba barabar hai abhi ham dono patthar hain
banaayegen use parvar digaar aahista aahista

mujhe ai zindagi kishton mein baanti thi khushi tune
utaarunga tera main bhi udhaar aahista aahista

suna tha dhaai akshar prem ke padh le vo pandit hai
chalo pandit bane ham sab ganwaar aahista aahista

abhi bas bahar mein lafzon ko baitha kar main dekhoon hoon
meri ghazlo mein aayega nikhaar aahista aahista

kahi jaate nahin par umr bhar rahte safar mein jo
unhin mein ho gaye ham bhi shumaar aahista aahista

banaya dil ko maine jail karke qaid sab rakhi
magar hoti gaeein khushiyaan firaar aahista aahista

na jaane prem kitne panpe kitne mar gaye dil mein
mera ye dil bana dil se mazaar aahista aahista

achaanak yun tera inkaar meri jaan le lega
muhabbat ko meri jaanam nakar aahista aahista

lage hai dheere dheere jee muhabbat mein bade sha'ir
bhale kaamon mein milti hai pagaar aahista aahista

kunaal ab to tum apni harkaton se baaz aajaao
amaan aayenge jaldi kya hai yaar aahista aahista

कभी भी हो नहीं सकता ये प्यार आहिस्ता आहिस्ता
मगर हाँ दिल में भरता है गुबार आहिस्ता आहिस्ता

अभी खाते हो कसमें साथ जीने साथ मरने की
रुको उतरेगा सर से ये ख़ुमार आहिस्ता आहिस्ता

हुए पहले पहल तो मनमुटाव आहिस्ता आहिस्ता
सजनवा फिर हुए बैरी हमार आहिस्ता आहिस्ता

गली की एक खिड़की जब खुले तब जाम लगता है
निकलते फिर सभी पैदल, सवार आहिस्ता आहिस्ता

लगेगा वक़्त थोड़ा और लेकिन काम ज़ारी है
सभी आएँगे मुझ में पर सुधार आहिस्ता आहिस्ता

बदन खुलने में आख़िर देर अब कितनी ही लगती है
खुला करते मगर दिल के द्वार आहिस्ता आहिस्ता

चली है बनके दुल्हन जान मेरी आज डोली में
ज़रा डोली उठाना ओ कहार आहिस्ता आहिस्ता

अभी रुतबा बराबर है अभी हम दोनो पत्थर हैं
बनाएगें उसे परवर दिगार आहिस्ता आहिस्ता

मुझे ऐ ज़िंदगी किश्तों में बांटी थी ख़ुशी तूने
उतारूँगा तेरा मैं भी उधार आहिस्ता आहिस्ता

सुना था ढ़ाई अक्षर प्रेम के पढ़ ले वो पंडित है
चलो पंडित बने हम सब गँवार आहिस्ता आहिस्ता

अभी बस बहर में लफ़्ज़ों को बैठा कर मैं देखूँ हूँ
मेरी ग़ज़लो में आएगा निखार आहिस्ता आहिस्ता

कहीं जाते नहीं पर उम्र भर रहते सफ़र में जो
उन्हीं में हो गए हम भी शुमार आहिस्ता आहिस्ता

बनाया दिल को मैंने जेल करके क़ैद सब रक्खी
मगर होती गईं ख़ुशियाँ फ़रार आहिस्ता आहिस्ता

न जाने प्रेम कितने पनपे कितने मर गए दिल में
मेरा ये दिल बना दिल से मज़ार आहिस्ता आहिस्ता

अचानक यूँ तेरा इंकार मेरी जान ले लेगा
मुहब्बत को मेरी जानम नकार आहिस्ता आहिस्ता

लगे है धीरे धीरे जी मुहब्बत में बड़े शा'इर
भले कामों में मिलती है पगार आहिस्ता आहिस्ता

कुनाल अब तो तुम अपनी हरकतों से बाज़ आजाओ
अमाँ आएंगे जल्दी क्या है यार आहिस्ता आहिस्ता

  - KUNAL

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari