ho lambi umr ye meri nahin aisa bhi socha tha | हो लंबी उम्र ये मेरी नहीं ऐसा भी सोचा था

  - KUNAL

ho lambi umr ye meri nahin aisa bhi socha tha
nahin aur zehan mein main khud kabhi marne ka sochunga

nahin chaahat meri aisi ki mujhko maut aa jaaye
magar jo aa rahi ho kal nahin phir jeena chaahunga

nahin pistaul taanoonga kabhi khud kanpati par main
magar haan taan de koi nahin phir usko rokunga

kabhi khud se nahin koodoonga chalti train ke aage
magar dhakka koi de de nahin phir patri chhodunga

nahin main haath jodoonga ki mujhko maar daalo aur
bhale phir maar hi daalo nahin main haath jodoonga

abhi tak jee gaya jitna kunaal itna na jeena tha
chalo phir khudkushi karlo nahin marna yun chaahunga

हो लंबी उम्र ये मेरी नहीं ऐसा भी सोचा था
नहीं और ज़ेहन में मैं ख़ुद कभी मरने का सोचूँगा

नहीं चाहत मेरी ऐसी कि मुझको मौत आ जाए
मगर जो आ रही हो कल नहीं फिर जीना चाहूँगा

नहीं पिस्तौल तानूँगा कभी ख़ुद कनपटी पर मैं
मगर हाँ तान दे कोई नहीं फिर उसको रोकूँगा

कभी ख़ुद से नहीं कूदूँगा चलती ट्रेन के आगे
मगर धक्का कोई दे दे नहीं फिर पटरी छोड़ूँगा

नहीं मैं हाथ जोड़ूँगा कि मुझको मार डालो और
भले फिर मार ही डालो नहीं मैं हाथ जोड़ूँगा

अभी तक जी गया जितना कुनाल इतना न जीना था
चलो फिर ख़ुदकुशी करलो नहीं मरना यूँ चाहूँगा

  - KUNAL

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by KUNAL

As you were reading Shayari by KUNAL

Similar Writers

our suggestion based on KUNAL

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari