din mile raat mile subh mile shaam mile
ishq saadiq ho to takleef mein aaraam mile
do kinaare kabhi dariya ke na mil paayenge
kaise phir zeest ke aaghaaz se anjaam mile
zindagi dard-e-mohabbat se saja rakhi hai
ghut ke mar jaaun jo dil ko mere aaraam mile
nazm maykhaane ka qaaim hai unhin se saaqi
tere khum-khaane mein jo log tahee-jaam mile
sab hain betaab tiri ek nazar ki khaatir
dekhiye kis ko mohabbat mein ye ina'am mile
main mohabbat mein tire naam se aage na badha
mujh ko is raah mein har chand kai naam mile
dushmanon se to kisi jurm ki paai na sanad
doston se mujhe ilzaam hi ilzaam mile
dard ko is liye seene se laga rakha hai
had se badh jaaye to kuchh jism ko aaraam mile
apni taqdeer pe vo naaz kare kyun na laeq
jis ko duniya na mile aap ka paighaam mile
दिन मिले रात मिले सुब्ह मिले शाम मिले
इश्क़ सादिक़ हो तो तकलीफ़ में आराम मिले
दो किनारे कभी दरिया के न मिल पाएँगे
कैसे फिर ज़ीस्त के आग़ाज़ से अंजाम मिले
ज़िंदगी दर्द-ए-मोहब्बत से सजा रक्खी है
घुट के मर जाऊँ जो दिल को मिरे आराम मिले
नज़्म मयख़ाने का क़ाएम है उन्हीं से साक़ी
तेरे ख़ुम-ख़ाने में जो लोग तही-जाम मिले
सब हैं बेताब तिरी एक नज़र की ख़ातिर
देखिए किस को मोहब्बत में ये इनआ'म मिले
मैं मोहब्बत में तिरे नाम से आगे न बढ़ा
मुझ को इस राह में हर चंद कई नाम मिले
दुश्मनों से तो किसी जुर्म की पाई न सनद
दोस्तों से मुझे इल्ज़ाम ही इल्ज़ाम मिले
दर्द को इस लिए सीने से लगा रक्खा है
हद से बढ़ जाए तो कुछ जिस्म को आराम मिले
अपनी तक़दीर पे वो नाज़ करे क्यों न 'लईक़'
जिस को दुनिया न मिले आप का पैग़ाम मिले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Siddiqi
our suggestion based on Laiq Siddiqi
As you were reading Ulfat Shayari Shayari