ye dekh zindagi ke liye hai payaam kya
din kya hai raat kya hai sehar kya hai shaam kya
manzil ki justuju hai to chalte chale chalo
gurbat mein thodi der thehar kar qayaam kya
jab nek aur bad mein na rah jaaye imtiyaaz
hoga kisi ka aise mein phir ehtiraam kya
aap apne dushmanon ko bhi dushman na jaaniye
pad jaaye kal unhin se khuda jaane kaam kya
insaan apne aap ko pahchaanta nahin
ye sochta nahin ki hai us ka maqaam kya
duniya-e-zindagi mein musawaat chahiye
is silsile mein shart-e-khawas-o-awaam kya
duniya mein koi naam achhoota nahin raha
badloge apna naam to rakhhoge naam kya
jis haal mein bhi guzre guzar jaayegi laeq
thodi si zindagi ke liye ehtimaam kya
ये देख ज़िंदगी के लिए है पयाम क्या
दिन क्या है रात क्या है सहर क्या है शाम क्या
मंज़िल की जुस्तुजू है तो चलते चले चलो
ग़ुर्बत में थोड़ी देर ठहर कर क़याम क्या
जब नेक और बद में न रह जाए इम्तियाज़
होगा किसी का ऐसे में फिर एहतिराम क्या
आप अपने दुश्मनों को भी दुश्मन न जानिए
पड़ जाए कल उन्हीं से ख़ुदा जाने काम क्या
इंसान अपने आप को पहचानता नहीं
ये सोचता नहीं कि है उस का मक़ाम क्या
दुनिया-ए-ज़िंदगी में मुसावात चाहिए
इस सिलसिले में शर्त-ए-ख़वास-ओ-अवाम क्या
दुनिया में कोई नाम अछूता नहीं रहा
बदलोगे अपना नाम तो रक्खोगे नाम क्या
जिस हाल में भी गुज़रे गुज़र जाएगी 'लईक़'
थोड़ी सी ज़िंदगी के लिए एहतिमाम क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laiq Siddiqi
our suggestion based on Laiq Siddiqi
As you were reading Aawargi Shayari Shayari