kaun batlaaye ki kis ko kya mila | कौन बतलाए कि किस को क्या मिला

  - Laiq Siddiqi

kaun batlaaye ki kis ko kya mila
jis ki qismat mein jo likkha tha mila

tark may-noshi to main ne ki magar
ye bata zaahid ki tujh ko kya mila

mar-miti duniya khushi ke naam par
gham na koi chaahne waala mila

fikr mein andaaz mein awaaz mein
har bashar apni jagah tanhaa mila

ab nahin be-laus milne ka rivaaj
jo mila vo apne matlab ka mila

simti simti har khushi aayi nazar
bikhra bikhra gham ka sheeraza mila

baankpan shaayad isee ka naam hai
husn rangeeni mein bhi saada mila

sehan-e-gulshan mein vo kahlaaye gulaab
khoon jin phoolon ko shabnam ka mila

apna maazi yaad aaya hai laeq
zakham dil ko jab koi taaza mila

कौन बतलाए कि किस को क्या मिला
जिस की क़िस्मत में जो लिक्खा था मिला

तर्क मय-नोशी तो मैं ने की मगर
ये बता ज़ाहिद कि तुझ को क्या मिला

मर-मिटी दुनिया ख़ुशी के नाम पर
ग़म न कोई चाहने वाला मिला

फ़िक्र में अंदाज़ में आवाज़ में
हर बशर अपनी जगह तन्हा मिला

अब नहीं बे-लौस मिलने का रिवाज
जो मिला वो अपने मतलब का मिला

सिमटी सिमटी हर ख़ुशी आई नज़र
बिखरा बिखरा ग़म का शीराज़ा मिला

बाँकपन शायद इसी का नाम है
हुस्न रंगीनी में भी सादा मिला

सेहन-ए-गुलशन में वो कहलाए गुलाब
ख़ून जिन फूलों को शबनम का मिला

अपना माज़ी याद आया है 'लईक़'
ज़ख़्म दिल को जब कोई ताज़ा मिला

  - Laiq Siddiqi

Gulaab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laiq Siddiqi

As you were reading Shayari by Laiq Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Laiq Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Gulaab Shayari Shayari