kisi gumaan kisi imkaan ka rukh nahin karti
nigaah jalwa-e-arzaan ka rukh nahin karti
basi hui hai jo aabaadiyon mein barbaadi
junoon ki mauj biyaabaan ka rukh nahin karti
saba ko fasl-e-bahaaraan se kya mila aakhir
vo gul khile ki gulistaan ka rukh nahin karti
hisaar-e-waqt mein apna vujood hai mahboos
aseeri ab rah-e-zindaan ka rukh nahin karti
mere azeezon mein rusva meri rifaqat hai
jabhi ye halka-e-yaaraan ka rukh nahin karti
fazaa to noor-e-sadaqat se jagmagaati hai
ye raushni dil insaan ka rukh nahin karti
vo kuchh nahin koi farsooda si rivaayat hai
vo fikr jo naye unwaan ka rukh nahin karti
hawa bhi kitni zamaana-shanaas hai ai lais
har ek sehan-e-gulistaan ka rukh nahin karti
किसी गुमाँ किसी इम्काँ का रुख़ नहीं करती
निगाह जल्वा-ए-अर्ज़ां का रुख़ नहीं करती
बसी हुई है जो आबादियों में बर्बादी
जुनूँ की मौज बयाबाँ का रुख़ नहीं करती
सबा को फ़स्ल-ए-बहाराँ से क्या मिला आख़िर
वो गुल खिले कि गुलिस्ताँ का रुख़ नहीं करती
हिसार-ए-वक़्त में अपना वजूद है महबूस
असीरी अब रह-ए-ज़िंदाँ का रुख़ नहीं करती
मिरे अज़ीज़ों में रुस्वा मिरी रिफ़ाक़त है
जभी ये हल्क़ा-ए-याराँ का रुख़ नहीं करती
फ़ज़ा तो नूर-ए-सदाक़त से जगमगाती है
ये रौशनी दिल इंसाँ का रुख़ नहीं करती
वो कुछ नहीं कोई फ़र्सूदा सी रिवायत है
वो फ़िक्र जो नए उनवाँ का रुख़ नहीं करती
हवा भी कितनी ज़माना-शनास है ऐ 'लैस'
हर एक सेहन-ए-गुलिस्ताँ का रुख़ नहीं करती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lais Quraishi
our suggestion based on Lais Quraishi
As you were reading Phool Shayari Shayari