lamba safar hai sood-o-ziyaan dekhte raho | लम्बा सफ़र है सूद-ओ-ज़ियाँ देखते रहो

  - Mahboob Azmi

lamba safar hai sood-o-ziyaan dekhte raho
tum inqilaab-e-kaun-o-makaan dekhte raho

aankhen karoge band to utthengi ungaliyaan
daur-e-bahaar ho ki khizaan dekhte raho

aaina dil ka hai jo shikasta to kya hua
tum ab kamaal-e-sheesha-garaan dekhte raho

aaseb ki misaal hain ye raaste tamaam
jaaye bhatk ke kaun kahaan dekhte raho

dil aur sham'a dono barabar hain sokhta
uthata hai kis jagah se dhuaan dekhte raho

लम्बा सफ़र है सूद-ओ-ज़ियाँ देखते रहो
तुम इंक़लाब-ए-कौन-ओ-मकाँ देखते रहो

आँखें करोगे बंद तो उट्ठेंगी उँगलियाँ
दौर-ए-बहार हो कि ख़िज़ाँ देखते रहो

आईना दिल का है जो शिकस्ता तो क्या हुआ
तुम अब कमाल-ए-शीशा-गराँ देखते रहो

आसेब की मिसाल हैं ये रास्ते तमाम
जाए भटक के कौन कहाँ देखते रहो

दिल और शम्अ दोनों बराबर हैं सोख़्ता
उठता है किस जगह से धुआँ देखते रहो

  - Mahboob Azmi

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahboob Azmi

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari