raat bhar narm hawaon ke jhonke
waqt ki mauj ravaan par bahte
teri yaadon ke safeene laaye
ki jazeeron se nikal kar aaye
guzra waqt ka daaman thaame
tiri yaadein tire gham ke saaye
ek ik harf-e-wafaa ki khushboo
mauja-e-gul mein simat kar aaye
ek ik ahad-e-wafaa ka manzar
khwaab ki tarah guzarte baadal
teri qurbat ke mehakte hue pal
mere daaman se lipatne aaye
neend ke baar se bojhal aankhen
gard-e-ayyaam se dhundlaaye hue
ek ik naqsh ko hairat se taken
lekin ab un se mujhe kya lena
mere kis kaam ke ye nazaane
ek chhodi hui duniya ke safeer
mere gham-khaane mein phir kyun aaye
dard ka rishta rifaqat ki lagan
rooh ki pyaas mohabbat ke chalan
main ne munh mod liya hai sab se
main ne duniya ke taqaze samjhe
ab mere paas koi kyun aaye
raat bhar nauha-kunaan yaad ki bifri maujen
mere khaamosh dar o baam se takraati hain
mere seene ke har ik zakham ko sahlaati hai
mujhe ehsaas ki us maut par sah de kar
subh ke saath nigoon saar palat jaati hai
रात भर नर्म हवाओं के झोंके
वक़्त की मौज रवाँ पर बहते
तेरी यादों के सफ़ीने लाए
कि जज़ीरों से निकल कर आए
गुज़रा वक़्त का दामन थामे
तिरी यादें तिरे ग़म के साए
एक इक हर्फ़-ए-वफ़ा की ख़ुश्बू
मौजा-ए-गुल में सिमट कर आए
एक इक अहद-ए-वफ़ा का मंज़र
ख़्वाब की तरह गुज़रते बादल
तेरी क़ुर्बत के महकते हुए पल
मेरे दामन से लिपटने आए
नींद के बार से बोझल आँखें
गर्द-ए-अय्याम से धुँदलाए हुए
एक इक नक़्श को हैरत से तकें
लेकिन अब उन से मुझे क्या लेना
मेरे किस काम के ये नज़राने
एक छोड़ी हुई दुनिया के सफ़ीर
मेरे ग़म-ख़ाने में फिर क्यूँ आए
दर्द का रिश्ता रिफ़ाक़त की लगन
रूह की प्यास मोहब्बत के चलन
मैं ने मुँह मोड़ लिया है सब से
मैं ने दुनिया के तक़ाज़े समझे
अब मेरे पास कोई क्यूँ आए
रात भर नौहा-कुनाँ याद की बिफरी मौजें
मेरे ख़ामोश दर ओ बाम से टकराती हैं
मेरे सीने के हर इक ज़ख़्म को सहलाती है
मुझे एहसास की उस मौत पर सह दे कर
सुब्ह के साथ निगूँ सार पलट जाती है
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Mahmood Ayaz
As you were reading Andhera Shayari Shayari