saare afkaar-o-aqaaid ke tilism | सारे अफ़्क़ार-ओ-अक़ाएद के तिलिस्म

  - Mahmood Ayaz

saare afkaar-o-aqaaid ke tilism
saare asnaam-e-khayaal
ham ne vo but-shikni ki hai ki mismar hain sab
apne ghar baar ki mahfooz faseelen ham ne
yun giraai hain ki ab
door-o-nazdeek ki har tund hawa
sab charaagon ko bas ik phoonk mein gul kar jaaye
ham ki har silsila-o-qaid ki zanjeer se azaad hue
aise majlis ke makeen hain ki jahaan
koi darwaaza koi rauzan-e-deewar nahin
ya khuda
koi gham aisa ki har gham ko subuksaar kare
koi aag aisi ki har aag ko khaashaak kare
koi mafhoom koi naqsh-e-tamanna ki jise
apne dil-o-jaan ka lahu nazr karoon
surkh-roo ho ke kahoon
zeest ki ye mohlat do-ek nafs
itni be-rang na thi
itni faromaaya na thi

सारे अफ़्क़ार-ओ-अक़ाएद के तिलिस्म
सारे असनाम-ए-ख़याल
हम ने वो बुत-शिकनी की है कि मिस्मार हैं सब
अपने घर बार की महफ़ूज़ फ़सीलें हम ने
यूँ गिराई हैं कि अब
दूर-ओ-नज़दीक की हर तुंद हवा
सब चराग़ों को बस इक फूँक में गुल कर जाए
हम कि हर सिलसिला-ओ-क़ैद की ज़ंजीर से आज़ाद हुए
ऐसे मज्लिस के मकीं हैं कि जहाँ
कोई दरवाज़ा कोई रौज़न-ए-दीवार नहीं
या ख़ुदा
कोई ग़म ऐसा कि हर ग़म को सुबुकसार करे
कोई आग ऐसी कि हर आग को ख़ाशाक करे
कोई मफ़्हूम कोई नक़्श-ए-तमन्ना कि जिसे
अपने दिल-ओ-जाँ का लहू नज़्र करूँ
सुर्ख़-रू हो के कहूँ
ज़ीस्त की ये मोहलत दो-एक नफ़स
इतनी बे-रंग न थी
इतनी फ़रोमाया न थी

  - Mahmood Ayaz

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari