aashiqon ki bheed mein bhi saaf pahchaane gaye | आशिक़ों की भीड़ में भी साफ़ पहचाने गए

  - Meena Bhatt

aashiqon ki bheed mein bhi saaf pahchaane gaye
sham'a jab raushan hui marne ko parwaane gaye

shodh karne ke liye jab log pahunchen chaand par
ham bhi mangal tak tiranga yaar lehraane gaye

ishq mein is hausale ki daad hamko aap den
jab unhonne chaand maanga aasmaan laane gaye

yun shaheedon waala jazba bhi hamaare dil mein tha
waqt jab aaya khud apna sheesh katwaane gaye

khwaab hamne yun to dekhe aasmaan se bhi bade
par hamesha hi zameen ke naam se jaane gaye

dil se apne tha vo muflis ham samajh paaye nahin
khud tamasha hi bane jo haath failaane gaye

ishq mein naakaam hona hi faqat taqdeer thi
ham jahaan pahunchen hamaare saath veeraane gaye

dard hai meena mila aisa dava jiski nahin
dhoondne phir bhi dava ham roz maykhaane gaye

आशिक़ों की भीड़ में भी साफ़ पहचाने गए
शम्अ जब रौशन हुई मरने को परवाने गए

शोध करने के लिए जब लोग पहुँचे चाँद पर
हम भी मंगल तक तिरंगा यार लहराने गए

इश्क़ में इस हौसले की दाद हमको आप दें
जब उन्होंने चाँद माँगा आसमाँ लाने गए

यूँ शहीदों वाला जज़्बा भी हमारे दिल में था
वक़्त जब आया ख़ुद अपना शीश कटवाने गए

ख़्वाब हमने यूँ तो देखे आसमाँ से भी बड़े
पर हमेशा ही ज़मीं के नाम से जाने गए

दिल से अपने था वो मुफ़लिस हम समझ पाए नहीं
ख़ुद तमाशा ही बने जो हाथ फैलाने गए

इश्क़ में नाकाम होना ही फ़क़त तक़दीर थी
हम जहाँ पहुँचे हमारे साथ वीराने गए

दर्द है मीना मिला ऐसा दवा जिसकी नहीं
ढूँढने फिर भी दवा हम रोज मयख़ाने गए

  - Meena Bhatt

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meena Bhatt

As you were reading Shayari by Meena Bhatt

Similar Writers

our suggestion based on Meena Bhatt

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari