bas-ki dushwaar hai har kaam ka aasaan hona | बस-कि दुश्वार है हर काम का आसाँ होना - Mirza Ghalib

bas-ki dushwaar hai har kaam ka aasaan hona
aadmi ko bhi mayassar nahin insaan hona

giryaa chahe hai kharaabi mere kaashaane ki
dar o deewaar se tapke hai biyaabaan hona

vaa-e-deewaangi-e-shauq ki har dam mujh ko
aap jaana udhar aur aap hi hairaan hona

jalwa az-bas-ki taqaaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhi chahe hai mizgaan hona

ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat pooch
eed-e-nazzaaraa hai shamsheer ka uryaan hona

le gaye khaak mein hum daagh-e-tamanna-e-nashaat
tu ho aur aap b-sad-rang-e-gulistaan hona

ishrat-e-paara-e-dil zakhm-e-tamanna khaana
lazzat-e-reesh-e-jigar ghark-e-namk-daan hona

ki mere qatl ke ba'ad us ne jafaa se tauba
haaye us zood-pasheemaan ka pashemaan hona

haif us chaar girah kapde ki qismat ghalib
jis ki qismat mein ho aashiq ka garebaan hona

बस-कि दुश्वार है हर काम का आसाँ होना
आदमी को भी मयस्सर नहीं इंसाँ होना

गिर्या चाहे है ख़राबी मिरे काशाने की
दर ओ दीवार से टपके है बयाबाँ होना

वा-ए-दीवानगी-ए-शौक़ कि हर दम मुझ को
आप जाना उधर और आप ही हैराँ होना

जल्वा अज़-बस-कि तक़ाज़ा-ए-निगह करता है
जौहर-ए-आइना भी चाहे है मिज़्गाँ होना

इशरत-ए-क़त्ल-गह-ए-अहल-ए-तमन्ना मत पूछ
ईद-ए-नज़्ज़ारा है शमशीर का उर्यां होना

ले गए ख़ाक में हम दाग़-ए-तमन्ना-ए-नशात
तू हो और आप ब-सद-रंग-ए-गुलिस्ताँ होना

इशरत-ए-पारा-ए-दिल ज़ख़्म-ए-तमन्ना खाना
लज़्ज़त-ए-रीश-ए-जिगर ग़र्क़-ए-नमक-दाँ होना

की मिरे क़त्ल के बा'द उस ने जफ़ा से तौबा
हाए उस ज़ूद-पशीमाँ का पशेमाँ होना

हैफ़ उस चार गिरह कपड़े की क़िस्मत 'ग़ालिब'
जिस की क़िस्मत में हो आशिक़ का गरेबाँ होना

- Mirza Ghalib
0 Likes

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari