ghaafil b-vahm-e-naaz khud-aara hai warna yaa | ग़ाफ़िल ब-वहम-ए-नाज़ ख़ुद-आरा है वर्ना याँ

  - Mirza Ghalib

ghaafil b-vahm-e-naaz khud-aara hai warna yaa
be-shaana-e-sabaa nahin turra gayaah ka

bazm-e-qadah se aish-e-tamannaa na rakh ki rang
said-e-ze-daam-e-jastaa hai us daam-gaah ka

rahmat agar qubool kare kya baeed hai
sharmindagi se uzr na karna gunaah ka

maqtal ko kis nashaat se jaata hoon main ki hai
pur-gul khayal-e-zakhm se daaman nigaah ka

jaan dar-hawaa-e-yak-nigah-e-garm hai asad
parwaana hai wakeel tire daad-khwaah ka

uzlat-guzeen-e-bazm hain vaamaandaagaan-e-deed
meena-e-may hai aablaa paa-e-nigaah ka

har gaam aable se hai dil dar-tah-e-qadam
kya beem ahl-e-dard ko sakhti-e-raah ka

taaus-e-dar-rikaab hai har zarra aah ka
ya-rab nafs ghubaar hai kis jalvaa-gaah ka

jeb-e-niyaaz-e-ishq nishaan-daar-e-naaz hai
aaina hoon shikastan-e-tarf-e-kulaah ka

ग़ाफ़िल ब-वहम-ए-नाज़ ख़ुद-आरा है वर्ना याँ
बे-शाना-ए-सबा नहीं तुर्रा गयाह का

बज़्म-ए-क़दह से ऐश-ए-तमन्ना न रख कि रंग
सैद-ए-ज़े-दाम-ए-जस्ता है उस दाम-गाह का

रहमत अगर क़ुबूल करे क्या बईद है
शर्मिंदगी से उज़्र न करना गुनाह का

मक़्तल को किस नशात से जाता हूँ मैं कि है
पुर-गुल ख़याल-ए-ज़ख्म से दामन निगाह का

जाँ दर-हवा-ए-यक-निगह-ए-गर्म है 'असद'
परवाना है वकील तिरे दाद-ख़्वाह का

उज़्लत-गुज़ीन-ए-बज़्म हैं वामांदागान-ए-दीद
मीना-ए-मय है आबला पा-ए-निगाह का

हर गाम आबले से है दिल दर-तह-ए-क़दम
क्या बीम अहल-ए-दर्द को सख़्ती-ए-राह का

ताऊस-ए-दर-रिकाब है हर ज़र्रा आह का
या-रब नफ़स ग़ुबार है किस जल्वा-गाह का

जेब-ए-नियाज़-ए-इश्क़ निशाँ-दार-ए-नाज़ है
आईना हूँ शिकस्तन-ए-तर्फ़-ए-कुलाह का

  - Mirza Ghalib

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari