jahaan tera naqsh-e-qadam dekhte hain
khayaabaan khayaabaan irm dekhte hain
dil-aashuftagan khaal-e-kunj-e-dehn ke
suwaida mein sair-e-adam dekhte hain
tire sarv-qaamat se ik qadd-e-aadam
qayamat ke fitne ko kam dekhte hain
tamasha ki ai mahv-e-aaina-daari
tujhe kis tamannaa se ham dekhte hain
suraagh-e-taf-e-naala le daag-e-dil se
ki shab-rau ka naqsh-e-qadam dekhte hain
bana kar faqeeron ka ham bhes ghalib
tamaasha-e-ahl-e-karam dekhte hain
kisoo ko z-khud rasta kam dekhte hain
ki aahu ko paaband-e-ram dekhte hain
khat-e-lakht-e-dil yak-qalam dekhte hain
mizaa ko jawaahar raqam dekhte hain
जहाँ तेरा नक़्श-ए-क़दम देखते हैं
ख़याबाँ ख़याबाँ इरम देखते हैं
दिल-आशुफ़्तगाँ ख़ाल-ए-कुंज-ए-दहन के
सुवैदा में सैर-ए-अदम देखते हैं
तिरे सर्व-क़ामत से इक क़द्द-ए-आदम
क़यामत के फ़ित्ने को कम देखते हैं
तमाशा कि ऐ महव-ए-आईना-दारी
तुझे किस तमन्ना से हम देखते हैं
सुराग़-ए-तफ़-ए-नाला ले दाग़-ए-दिल से
कि शब-रौ का नक़्श-ए-क़दम देखते हैं
बना कर फ़क़ीरों का हम भेस 'ग़ालिब'
तमाशा-ए-अहल-ए-करम देखते हैं
किसू को ज़-ख़ुद रस्ता कम देखते हैं
कि आहू को पाबंद-ए-रम देखते हैं
ख़त-ए-लख़्त-ए-दिल यक-क़लम देखते हैं
मिज़ा को जवाहर रक़म देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Duniya Shayari Shayari