kisi ko de ke dil koi nava-sanj-e-fughaan kyun ho | किसी को दे के दिल कोई नवा-संज-ए-फ़ुग़ाँ क्यूँ हो

  - Mirza Ghalib

kisi ko de ke dil koi nava-sanj-e-fughaan kyun ho
na ho jab dil hi seene mein to phir munh mein zabaan kyun ho

vo apni khoo na chhodenge ham apni waz'a kyun chhodein
subuk-sar ban ke kya poochen ki ham se sargiraan kyun ho

kiya gham-khwaar ne rusva lage aag is mohabbat ko
na laave taab jo gham ki vo mera raaz-daan kyun ho

wafa kaisi kahaan ka ishq jab sar phodna thehra
to phir ai sang-dil tera hi sang-e-aastaan kyun ho

qafas mein mujh se ravaad-e-chaman kahte na dar hamdam
giri hai jis pe kal bijli vo mera aashiyaan kyun ho

ye kah sakte ho ham dil mein nahin hain par ye batlaao
ki jab dil mein tumheen tum ho to aankhon se nihaan kyun ho

galat hai jazb-e-dil ka shikwa dekho jurm kis ka hai
na kheencho gar tum apne ko kashaaksh darmiyaan kyun ho

ye fitna aadmi ki khaana-veeraani ko kya kam hai
hue tum dost jis ke dushman us ka aasmaan kyun ho

yahi hai aazmaana to sataana kis ko kahte hain
adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaan kyun ho

kaha tum ne ki kyun ho gair ke milne mein ruswaai
baja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo ki haan kyun ho

nikala chahta hai kaam kya ta'non se tu ghalib
tire be-mehr kehne se vo tujh par meherbaan kyun ho

किसी को दे के दिल कोई नवा-संज-ए-फ़ुग़ाँ क्यूँ हो
न हो जब दिल ही सीने में तो फिर मुँह में ज़बाँ क्यूँ हो

वो अपनी ख़ू न छोड़ेंगे हम अपनी वज़्अ क्यूँ छोड़ें
सुबुक-सर बन के क्या पूछें कि हम से सरगिराँ क्यूँ हो

किया ग़म-ख़्वार ने रुस्वा लगे आग इस मोहब्बत को
न लावे ताब जो ग़म की वो मेरा राज़-दाँ क्यूँ हो

वफ़ा कैसी कहाँ का इश्क़ जब सर फोड़ना ठहरा
तो फिर ऐ संग-दिल तेरा ही संग-ए-आस्ताँ क्यूँ हो

क़फ़स में मुझ से रूदाद-ए-चमन कहते न डर हमदम
गिरी है जिस पे कल बिजली वो मेरा आशियाँ क्यूँ हो

ये कह सकते हो हम दिल में नहीं हैं पर ये बतलाओ
कि जब दिल में तुम्हीं तुम हो तो आँखों से निहाँ क्यूँ हो

ग़लत है जज़्ब-ए-दिल का शिकवा देखो जुर्म किस का है
न खींचो गर तुम अपने को कशाकश दरमियाँ क्यूँ हो

ये फ़ित्ना आदमी की ख़ाना-वीरानी को क्या कम है
हुए तुम दोस्त जिस के दुश्मन उस का आसमाँ क्यूँ हो

यही है आज़माना तो सताना किस को कहते हैं
अदू के हो लिए जब तुम तो मेरा इम्तिहाँ क्यूँ हो

कहा तुम ने कि क्यूँ हो ग़ैर के मिलने में रुस्वाई
बजा कहते हो सच कहते हो फिर कहियो कि हाँ क्यूँ हो

निकाला चाहता है काम क्या ता'नों से तू 'ग़ालिब'
तिरे बे-मेहर कहने से वो तुझ पर मेहरबाँ क्यूँ हो

  - Mirza Ghalib

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Mirza Ghalib

As you were reading Shayari by Mirza Ghalib

Similar Writers

our suggestion based on Mirza Ghalib

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari