siyaahi jaise gir jaaye dam-e-tahreer kaaghaz par
meri qismat mein yun tasveer hai shab-ha-e-hijraan ki
kahoon kya garm-joshi may-kashi mein shola-ruyaan ki
ki sham-e-khaana-e-dil aatish-e-may se farozaan ki
hamesha mujh ko tifli mein bhi mask-e-teerha-rozi thi
siyaahi hai mere ayyaam mein lauh-e-dabistaan ki
daregh aah-e-sehr-gah kaar-e-baad-e-subh karti hai
ki hoti hai ziyaada sard-mehri sham'a-ruyaan ki
mujhe apne junoon ki be-takalluf parda-daari thi
v-lekin kya karoon aave jo ruswaai garebaan ki
hunar paida kiya hai main ne hairat-aazmaai mein
ki jauhar aaine ka har palak hai chashm-e-haira'n ki
khudaaya kis qadar ahl-e-nazar ne khaak chaani hai
ki hain sad-rakhna jun ghirbaal deewarein gulistaan ki
hua sharm-e-tahi-dasti se se vo bhi sar-nigoon aakhir
bas ai zakham-e-jigar ab dekh le shorish namak-daan ki
bayaad-e-garmi-e-sohbat b-rang-e-shola dahke hai
chhupaau kyunki ghalib sozishein daag-e-numaayaan ki
junoon tohmat-kash-e-taskin na ho gar shaadmaani ki
namak-paash-e-kharaash-e-dil hai lazzat zindagaani ki
kashaakash-haa-e-hasti se kare kya saai-e-aazaadi
hui zanjeer-e-mauj-e-aab ko furqat rawaani ki
na kheench ai saii-e-dast-e-na-rasa zulf-e-tamannaa ko
pareshaan-tar hai moo-e-khaama se tadbeer maani ki
kahaan ham bhi rag-o-pai rakhte hain insaaf bahattar hai
na kheeche taqat-e-khemyaaza tohmat naa-tawaani ki
takalluf-bartaraf farhaad aur itni subu-dasti
khayal aasaan tha lekin khwaab-e-khusraw ne giraani ki
pas-az-murdan bhi deewaana ziyaarat-gaah-e-tiflaan hai
sharaar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishaani ki
asad ko boriye mein dhar ke phoonka mauj-e-hasti ne
faqiri mein bhi baaki hai sharaarat naujawaani ki
सियाही जैसे गिर जाए दम-ए-तहरीर काग़ज़ पर
मिरी क़िस्मत में यूँ तस्वीर है शब-हा-ए-हिज्राँ की
कहूँ क्या गर्म-जोशी मय-कशी में शोला-रूयाँ की
कि शम-ए-ख़ाना-ए-दिल आतिश-ए-मय से फ़रोज़ाँ की
हमेशा मुझ को तिफ़्ली में भी मश्क़-ए-तीरह-रोज़ी थी
सियाही है मिरे अय्याम में लौह-ए-दबिस्ताँ की
दरेग़ आह-ए-सहर-गह कार-ए-बाद-ए-सुब्ह करती है
कि होती है ज़ियादा सर्द-मेहरी शम्अ-रूयाँ की
मुझे अपने जुनूँ की बे-तकल्लुफ़ पर्दा-दारी थी
व-लेकिन क्या करूँ आवे जो रुस्वाई गरेबाँ की
हुनर पैदा किया है मैं ने हैरत-आज़माई में
कि जौहर आइने का हर पलक है चश्म-ए-हैराँ की
ख़ुदाया किस क़दर अहल-ए-नज़र ने ख़ाक छानी है
कि हैं सद-रख़्ना जूँ ग़िर्बाल दीवारें गुलिस्ताँ की
हुआ शर्म-ए-तही-दस्ती से से वो भी सर-निगूँ आख़िर
बस ऐ ज़ख़्म-ए-जिगर अब देख ले शोरिश नमक-दाँ की
बयाद-ए-गर्मी-ए-सोहबत ब-रंग-ए-शोला दहके है
छुपाऊँ क्यूँकि 'ग़ालिब' सोज़िशें दाग़-ए-नुमायाँ की
जुनूँ तोहमत-कश-ए-तस्कीं न हो गर शादमानी की
नमक-पाश-ए-ख़राश-ए-दिल है लज़्ज़त ज़िंदगानी की
कशाकश-हा-ए-हस्ती से करे क्या सई-ए-आज़ादी
हुइ ज़ंजीर-ए-मौज-ए-आब को फ़ुर्सत रवानी की
न खींच ऐ सई-ए-दस्त-ए-ना-रसा ज़ुल्फ़-ए-तमन्ना को
परेशाँ-तर है मू-ए-ख़ामा से तदबीर मानी की
कहाँ हम भी रग-ओ-पै रखते हैं इंसाफ़ बहत्तर है
न खींचे ताक़त-ए-ख़म्याज़ा तोहमत ना-तवानी की
तकल्लुफ़-बरतरफ़ फ़रहाद और इतनी सुबु-दस्ती
ख़याल आसाँ था लेकिन ख़्वाब-ए-ख़ुसरव ने गिरानी की
पस-अज़-मुर्दन भी दीवाना ज़ियारत-गाह-ए-तिफ़्लाँ है
शरार-ए-संग ने तुर्बत पे मेरी गुल-फ़िशानी की
'असद' को बोरिए में धर के फूँका मौज-ए-हस्ती ने
फ़क़ीरी में भी बाक़ी है शरारत नौजवानी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Mirza Ghalib
our suggestion based on Mirza Ghalib
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari