mujh mein soye hue mahtaab se kam waqif hai | मुझ में सोए हुए माहताब से कम वाक़िफ़ है

  - Nadiya ambar lodhi

mujh mein soye hue mahtaab se kam waqif hai
tu meri aankh ke taalaab se kam waqif hai

bugz-e-a'ada khoo-e-ahbaab se kam waqif hai
jo mere halka-e-arbaab se kam waqif hai

satwat-e-qasr-e-shahi dhoke mein rakhta hai ki jo
azmat-e-gumbad-o-mehraab se kam waqif hai

ishq ki chahiye ta'leem abhi aur use
jo mohabbat adab aadaab se kam waqif hai

zeest karne ko bahut chashm-e-fusoon-kaar mujhe
vo mere ishq ke zarataab se kam waqif hai

maanvi taur par us pe main mukammal na khuli
vo meri zaat ke eraab se kam waqif hai

tujh pe main kholoongi ik din sabhi auraq-e-jamaal
tu abhi husn ke abwaab se kam waqif hai

kya banega jo na tal paai bala-e-furqat
hijr to vasl ke asbaab se kam waqif hai

ek hi shakhs ka karti hai adab dhadkan bhi
dil to duniya tire aadaab se kam waqif hai

itna poshida use rakha hai ambar sab se
aankh apni bhi mere khwaab se kam waqif hai

मुझ में सोए हुए माहताब से कम वाक़िफ़ है
तू मिरी आँख के तालाब से कम वाक़िफ़ है

बुग़्ज़-ए-आ'दा ख़ू-ए-अहबाब से कम वाक़िफ़ है
जो मिरे हल्क़ा-ए-अर्बाब से कम वाक़िफ़ है

सतवत-ए-क़स्र-ए-शही धोके में रखता है कि जो
अज़्मत-ए-गुम्बद-ओ-मेहराब से कम वाक़िफ़ है

इश्क़ की चाहिए ता'लीम अभी और उसे
जो मोहब्बत अदब आदाब से कम वाक़िफ़ है

ज़ीस्त करने को बहुत चश्म-ए-फुसूँ-कार मुझे
वो मिरे इश्क़ के ज़रताब से कम वाक़िफ़ है

मानवी तौर पर उस पे मैं मुकम्मल ना खुली
वो मिरी ज़ात के एराब से कम वाक़िफ़ है

तुझ पे मैं खोलूँगी इक दिन सभी औराक़-ए-जमाल
तू अभी हुस्न के अबवाब से कम वाक़िफ़ है

क्या बनेगा जो ना टल पाई बला-ए-फुर्क़त
हिज्र तो वस्ल के अस्बाब से कम वाक़िफ़ है

एक ही शख़्स का करती है अदब धड़कन भी
दिल तो दुनिया तिरे आदाब से कम वाक़िफ़ है

इतना पोशीदा उसे रक्खा है 'अम्बर' सब से
आँख अपनी भी मिरे ख़्वाब से कम वाक़िफ़ है

  - Nadiya ambar lodhi

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadiya ambar lodhi

As you were reading Shayari by Nadiya ambar lodhi

Similar Writers

our suggestion based on Nadiya ambar lodhi

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari