seem-o-zar ki koi tanveer nahin chahti main
kisi shehzaadi si taqdeer nahin chahti main
maktab-e-ishq se waabasta hoon kaafi hai mujhe
daad-e-'ghalib sanad-e-'meer nahin chahti main
faizyaabi tiri sohbat hi se milti hai mujhe
kab tire ishq ki taaseer nahin chahti main
qaid ab vasl ke zindaan mein tu kar le mujh ko
ye tire hijr ki zanjeer nahin chahti main
mujh ko itni bhi na sikhla tu nishaana baazi
tujh pe chal jaaye mera teer nahin chahti main
ab to aata nahin ambar vo kabhi sapne mein
ab kisi khwaab ki ta'beer nahin chahti main
सीम-ओ-ज़र की कोई तनवीर नहीं चाहती मैं
किसी शहज़ादी सी तक़दीर नहीं चाहती मैं
मकतब-ए-इश्क़ से वाबस्ता हूँ काफ़ी है मुझे
दाद-ए-'ग़ालिब' सनद-ए-'मीर' नहीं चाहती मैं
फ़ैज़याबी तिरी सोहबत ही से मिलती है मुझे
कब तिरे इश्क़ की तासीर नहीं चाहती मैं
क़ैद अब वस्ल के ज़िंदाँ में तू कर ले मुझ को
ये तिरे हिज्र की ज़ंजीर नहीं चाहती मैं
मुझ को इतनी भी न सिखला तू निशाना बाज़ी
तुझ पे चल जाए मिरा तीर नहीं चाहती मैं
अब तो आता नहीं 'अम्बर' वो कभी सपने में
अब किसी ख़्वाब की ता'बीर नहीं चाहती मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadiya ambar lodhi
our suggestion based on Nadiya ambar lodhi
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari