dard aur gham ke maare nikle raat safar sehra aur main | दर्द और ग़म के मारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं

  - Nadiya ambar lodhi

dard aur gham ke maare nikle raat safar sehra aur main
ek hi jang ke haare nikle raat safar sehra aur main

dukh ki chadar taan ke ham ne hijr ki raat guzaari thi
aansu jugnoo taare nikle raat safar sehra aur main

ghark hue phir mauj-e-fana mein ik ik kar ke sab ke sab
dekho faani saare nikle raat safar sehra aur main

ham ne jis ki buniyaadon mein saans ka seesa daala tha
mitti ret aur gaare nikle raat safar sehra aur main

main ne socha tha ki ye ambar qismat meri badal denge
mujh se bichhad ke ye saare nikle raat safar sehra aur main

दर्द और ग़म के मारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं
एक ही जंग के हारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं

दुख की चादर तान के हम ने हिज्र की रात गुज़ारी थी
आँसू जुगनू तारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं

ग़र्क़ हुए फिर मौज-ए-फ़ना में इक इक कर के सब के सब
देखो फ़ानी सारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं

हम ने जिस की बुनियादों में साँस का सीसा डाला था
मिट्टी रेत और गारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं

मैं ने सोचा था कि ये 'अम्बर' क़िस्मत मेरी बदल देंगे
मुझ से बिछड़ के ये सारे निकले रात सफ़र सहरा और मैं

  - Nadiya ambar lodhi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadiya ambar lodhi

As you were reading Shayari by Nadiya ambar lodhi

Similar Writers

our suggestion based on Nadiya ambar lodhi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari