ham ko aaghaaz-e-safar maarta hai | हम को आग़ाज़-ए-सफ़र मारता है

  - Nadiya ambar lodhi

ham ko aaghaaz-e-safar maarta hai
maarta koi nahin dar maarta hai

zindagi hai meri mushkil mein padi
ishq hai ki be-khabar maarta hai

tiri mujh se nahin qurbat na sahi
mujh ko to husn-e-nazar maarta hai

zindagi us ki hai muhtaaj magar
de bhi saka hai magar maarta hai

ik hasi goonji thi ghar mein mere
mujh ko yaadon ka asar maarta hai

हम को आग़ाज़-ए-सफ़र मारता है
मारता कोई नहीं डर मारता है

ज़िंदगी है मिरी मुश्किल में पड़ी
इश्क़ है कि बे-ख़बर मारता है

तिरी मुझ से नहीं क़ुर्बत न सही
मुझ को तो हुस्न-ए-नज़र मारता है

ज़िंदगी उस की है मुहताज मगर
दे भी सकता है मगर मारता है

इक हँसी गूँजी थी घर में मेरे
मुझ को यादों का असर मारता है

  - Nadiya ambar lodhi

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadiya ambar lodhi

As you were reading Shayari by Nadiya ambar lodhi

Similar Writers

our suggestion based on Nadiya ambar lodhi

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari