zameen lapetata hai aasmaan sametta hai
kahaan ki baat ko ye dil kahaan sametta hai
husain rifaten taqseem karta hai ab bhi
yazid aaj bhi ruswaaiyaan sametta hai
wahin pe gardishein ruk sakti hain zamaane ki
vo jast bharta hai aur par jahaan sametta hai
use bataana ki tum jab kahi bhi tootte ho
tumhaari kirchiyaan koi yahan sametta hai
kisi mein nadiya juz ishq itna zarf kahaan
hai kaun bikhre dilon ko jo yaa sametta hai
ज़मीं लपेटता है आसमाँ समेटता है
कहाँ की बात को ये दिल कहाँ समेटता है
हुसैन रिफ़अतें तक़्सीम करता है अब भी
यज़ीद आज भी रुस्वाइयाँ समेटता है
वहीं पे गर्दिशें रुक सकती हैं ज़माने की
वो जस्त भरता है और पर जहाँ समेटता है
उसे बताना कि तुम जब कहीं भी टूटते हो
तुम्हारी किर्चियाँ कोई यहाँ समेटता है
किसी में 'नादिया' जुज़ इश्क़ इतना ज़र्फ़ कहाँ
है कौन बिखरे दिलों को जो याँ समेटता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadiya ambar lodhi
our suggestion based on Nadiya ambar lodhi
As you were reading Duniya Shayari Shayari